यादों के झरोखों से

>> Friday, June 19, 2009


वो ही सुबह हो सर्दी की,
कंपकँपाता सा जाड़ा हो..
सज के घर से मैं निकलूं,
तुमसे मिलने का वादा हो..
वो लोकल बस का सफ़र मेरा,
जिसका अफ़सोस तुम्हे ज़्यादा हो..

शिकायत कर के रूठ जाना,
पकड़ कर कान को फिर मनाना.,
वो सताना देर तक मेरा,
कनखियों से देखना चेहरा...
बर्फ से हाथ जमते हो,
मगर जज़्बात पिघलते हो..
मलना बार बार हाथों को,
रोकना किटकिटाने से दाँतों को..

तुम्हारे कोट की जेबों में,
दोनो की उंगलियाँ मिलना,
सुर्ख गालों पे नज़र तेरी,
हज़ारों खवाब का खिलना..
तुम्हारी बातों का पिटारा हो,
बिना शर्त सब कुछ गवारा हो..
रखना संग संग कदम अपना,
तुम्हारे काँधे का सहारा हो..

चलो हम अब लौट आते है,
फिर से आज मे "शिखा",
गुज़ारिश तुम से करती हूँ,
हो सके तो समझ लेना...
अपने लबों पर तुम भी बस,
दुआ यह एक ही रखना,
दरमियाँ तुम्हारे हमारे बीच,
भले ही जहाँ यह सारा हो,
यादों में ही सही, कभी अपनी
वो ही हँसीन मुलाकात दोबारा हो..

----xxxx----xxxx----xxxx----xxxx----xxxx----

Wohi subah ho sardi ki,
Kampkampaata sa jaada ho..
Saj ke ghar se main niklun,
Tumse milne ka waada ho..
Wo Local bus ka safar mera,
Jiska afsos tumhe jyaada ho..

Shikayat kar ke rooth jaana,
Pakad kar kaan ko phir manaana.,
Woh sataana der takk mera,
Kankhiyon se dekhna chehra...
Barf se haath jamte ho,
Magar jazbaat pighalte ho..
Malna baar baar haathon ko,
Rokna kitkitaane se daanton ko..

Tumhaare coat ki jebon mein,
Doono ki ungliyaan milna,
Surkh gaalon pe nazar teri,
Hazaaron khawaab ka khilna..
Tumhaari baaton ka pitaara ho,
Bina shart sab kuch gawaara ho..
Rakhna sang sang kadam apna,
Tumhare kaandhe ka sahaara ho..

Chalo hum bhi laut aate hai,
Phir se aaj me "Shikha"..
Guzarish tum se karti hoon,
Ho sakey toh samajh lena...
Apne labon par tum bhi bus,
Dua yeh ek hi rakhna,
Darmiyaan tumhare hamare beech,
Bhale hi jahaan yeh saara ho,
Yaadon mein hi sahi, kabhi apni
Wohi hanseen mulakaat dobaara ho..

Read more...

Main Rahun Ya Naa Rahun

>> Saturday, April 4, 2009

मैं रहूँ या ना रहूँ,
कुछ निशानी रह जाएगी..
मेरे दर्द से भीगी हुई,
मेरी कहानी रह जाएगी..

जो बोल दूँ सब आज मैं तो,
हाल-ए-दिल सुनेगा कौन..
मेरी मौत कल मगर यह,
बात पुरानी कह जाएगी..

तानाकशी ना सह सकेंगे,
मर जायेंगे हम ए सनम..
इल्ज़ाम लाख देना हमें फिर,
रूह तो सब सह जाएगी..

--------------------------------------------------

Main rahun ya naa rahun,
Kuch nishaani reh jaayegi..
Mere dard se bheegi hui,
Meri kahaani reh jaayegi..

Jo Bol duun sab aaj main to,
Haal-e-dil sunega kaun..
Meri maut kal magar yeh,
Baat puraani keh jaayegi..

Taanakashi naa seh sakeinge,
Mar jaayeinge ham E Sanam..
Ilzaam laakh dena hamein phir,
Rooh to sab seh jaayegi..

Read more...

Tera Zikr Ho..

>> Thursday, March 5, 2009

तेरा ज़िक्र हो, तेरी फ़िक्र हो…
तेरा नाम लूँ, तेरी याद हो…

एक मेहरबानी यह कर सनम,
मैं बीमार-ए-इश्क़ तेरे नाम की…
मेरी ख़ैरियत मुझसे पूछ ले,
कहीं अफ़सोस ना मेरे बाद हो…

मैं खिज़ा सही, मुझे प्यार कर,
यूँ तलब ना कर तू बहार की…
ऐसे समेट ले मुझे धड़कन मे,
कि ना खुश्बू ये फिर आज़ाद हो…

तुम इतिहास हो मेरी साँसों का,
तुम आवाज़ हो मेरी पुकार की…
रुक जाओ आकर मेरे पहलू मे,
यही फरियाद आख़िरी फरियाद हो…

-x-x-x-x-x-x-x-x-x-x-x-x-x-

Tera zikr ho, Teri fikr ho…
Tera naam loon, Teri yaad ho…

Ek meherbaani yeh kar sanam,
Main beemar-e-ishq tere naam ki…
Meri khairiyat mujhse pooch le,
Kahin afsos naa mere baad ho…

Main khizaa sahi, Mujhe pyaar kar,
Yun Talab naa kar tu bahaar ki…
Aise samet le mujhe dhadkan mein,
Ki naa khushboo ye phir azaad ho…

Tum Itihaas ho meri saanson ka,
Tum Aawaaz ho Meri Pukaar ki…
Rukk jao aakar mere pehlu mein,
Yehi Fariyaad aakhiri fariyaad ho…

Read more...

बाबुल

>> Tuesday, February 17, 2009

ये २००६ में लिखी थी, डायरी के पन्नो से सीधा यहाँ पर... http://www.yoindia.com/shayariadab/miscellaneous-shayri/baabul-a-last-lost-dream-of-a-girl-t21425.0.html; आज दुबारा पढ़ी, तो कुछ खामियां नज़र आई, लेकिन जब इसे लिखा था तो एक साँस में लिखा था, घर की बहुत याद आ रही थी, और बस लिखती गई थी.. गलतियां दिखायी देते हुए भी, इसे बदलने का मन नहीं कर रहा, सो वैसे ही पोस्ट कर रही हूँ!


छलके है आँखें, तरसे है मन यह,
रुकी हुई है धड़कन, रुकी रुकी साँसे,
डगमगा रही हूँ मैं, फिर चलते चलते,
मुझे थामा था मेरे बचपन में जैसे,
गुडिया को अपनी, अपना हाथ फिर थमा दे,
बाबुल मुझे फिर से तू अपने पास बुला ले!

वो आँगन का झूला क्या अब भी पड़ा है?
वो तुलसी का पौधा क्या अब भी खड़ा है?
वो सतरंगी छतरी, वो बारिश का मौसम,
कागज़ की कश्ती फिर मेरे लिए एक बना दे!
एक बार मुझको फिर से वोही बचपन लौटा दे!
बाबुल मुझे फिर से तू अपने पास बुला ले!

वो गुडिया की कंघी, वो खेल खिलौने,
वो मेरा तकिया, और वो मेरे बिछौने,
मेरी कुछ किताबे थी, कुछ अधूरे सपने,
सपने वो मुझको एक बार फिर से लौटा दे!
या सामान मेरा गंगा में बहा दे!
बाबुल मुझे फिर से तू अपने पास बुला ले!

कैसे जिगर के टुकड़े को कर दिया तू ने पराया,
डोली के वक्त तू ने जब कलेजे से लगाया,
मैंने सुना था बाबुल, तेरा दिल दिल रो रहा था,
कैसे रोते दिल को तू ने फिर था मनाया?
बाबुल.. वैसे ही दिल को एक बार फिर से मन ले!
बाबुल मुझे फिर से तू अपने पास बुला ले!

लगी थरथराने जब लौ ज़िन्दगी की,
मैंने लाख तुझ को दिए थे इशारे,
माँ को भेजी थी ख़त में, एक कली मुरझाई,
भेजी ना राखी, छोड़ दी भाई की सूनी कलाई!
मगर बेटी तुम्हारी हो चुकी थी पराई,
शायद नसीब अपना समझा ना पायी,
आखिरी बार मेरी आज तुम फिर कर दो विदाई,
लेकिन विदाई से पहले अपनी नज़र में बसा ले!
बाबुल... मुझे फिर से तू अपने पास बुला ले!

मुझे ख़ाक करने को चला था जब ज़माना,
क्यों रोये थे तुम भी, मुझे यह तो बताना,
आंखों में अब ना कभी आंसू फिर तुम लाना!
भटकती है रूह मेरी, तेरे प्यार को फिर से,
माथे पर हाथ धर कर बेचैन रूह को सुला दे!
बाबुल मुझे फिर से तू अपने पास बुला ले!

---------------------------------------------------------------------------

Baabul...


Chhalke hai aankhein, Tarse hai mann yeh,
Ruki hui hai dhadkan, Ruki Ruki saansein…
Dagmagaa rahii hoon main phir chalte chalte,
Mujhe thaamaa tha mere bachpan mey jaisey,
Gudiaa ko apni apna haath phir thamaa dey…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…

Woh aangan ka jhoola kya ab bhi pada hai,
Woh Tulsii ka paudha kya ab bhi khada hai…
Woh satrangii chhatrii, woh baarish ka mausam,
Kaagaz ki kashtii phir mere liye ek bana dey...
Ek baar mujhko phir sey woh bachpan lauta dey…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…

Woh gudiya ki kangghee, woh khel khiloney,
Woh mera takiyaa aur woh mere bichhoney…
Meri kuch kitaabein thii, kuch adhoore sapne,
Sapne woh mujhko ek baar phir sey lauta dey…
Yaa saamaan mera Ganga mey bahaa dey...
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…

Kaise jigar ke tukde ko kar diya tuney paraaya,
Doli ke waqt tuney jab kalejey se lagayaa,
Maine sunaa thaa baabul tera dil ro raha tha,
Kaise rotey dil ko tuney phir thaa manaayaa…
Baabul waise he dil ko ek baar phir tu mana ley…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…

Lagi thhartharaane jab lau zindagi ki,
Maine lakh tujhko diye thhe ishaare,
Maa ko bheji thi khat mey ek kali murjhaayi,
Bheji naa raakhi, chodh di bhai ki sooni kalaai…
Magar betii tumhari ho chuki thii parayii,
Shayad naseeb apna samjhaa naa paayii,
Aakhiri baar meri aaj tum phir kar do vidaaii…
Lekin vidaaii se pehle apni nazar mey basaa ley…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…

Mujhey khaakh kar ney ko chala thaa jab zamaana…
Kyon roye thhe tum bhi, mujhey yeh bataana,
Aankhon mey ab naa aansoo phir sey laanaa…
Bhatakti hai ruuh meri, tere pyaar ko phir sey...
Maathhey pey haat rakh kar issey ab sulaa dey…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…

Read more...

किस्सा अब सुनाऊं क्या!

>> Wednesday, February 4, 2009

इक ऐब है मेरी शक्सियत,
इसको मैं छुपाऊं कहाँ..
मेरी जिंदगी तो है हादसा.
यह किस्सा तुम्हे सुनाऊं क्या!

उनकी बुलंदियां कमाल की,
जैसे पर्वत, जैसे आसमां,
मेरे हिस्से सब नाकामियाँ,
इन्हे उठा के ले जाऊं कहाँ!

ख़ुद की जिंदगी का सलीका,
सीखे कभी तो समझायेंगे,
बातें अभी है सब बेतुकी,
फिर बार बार दोहराऊं क्या!
--------------------------------------------------------
Kissa Ab Sunaaun Kya

Ek aib hai meri shakshiyat,
Isko main chupaaun kahan..
Meri Zindagi to hai haadsaa,
Yeh kissa tumhe sunaaun kya..

Unki bulandiyaan kamaal ki,
Jaise Parvat, jaise aasmaa,
Mere hisse sab nakaamiyaan,
Inhe uttha ke le jaaun kahan..

Khud ki zindagi ka saleekha,
Seekhe Kabhi to samjhaayeinge,
Baatein abhi hai sab betuki,
Phir baar baar dohraaun kya..

Read more...

विदाई ले कर सुबह से

विदाई ले कर सुबह से, शाम ढलती ही रही,
और बहुत रोई अंधेरों से लग लग कर गले..

चुनते रहे ख्वाबों को अपनी बंद पलकों पर,
फिर टूटते भी देखा उन्हे जब कभी पलकें खुले..

सुनाई देती रही सिसकियाँ दिल के भीतर में,
आह निकल ना पायी, बैठे रहे लबों को सिले..

कपकँपाते हुए हाथों को थाम लीजिएगा,
कट जाए सफ़र शायद.. 'गर किसी का साथ मिले..
------------------------------------------------
Vidaai Le Kar Subah Se


Vidaai le kar subah se, shaam dhalti hi rahi,
Aur bahut royi andheron se lag lag kar gale..

Chunte rahe khwaabon ko apni band palkon par,
Phir Toot.te bhi dekha unhe jab kabhi palkein khule..

Sunaai deti rahi siskiyaan dil ke bheeter mein,
Aah nikal naa paayi, baithe rahe labon ko sile..

Kamkampaate hue haanthon ko thaam lijiyega,
Kat jaaye safar shayad.. 'gar kisi ka saath mile..

Read more...

सच्चाई से कैसे इनकार करूँ

रौंद डाली है दिल की ज़मीन खुद अपनो ने,
क्यों किसी अजनबी मेहमान का इंतज़ार करूँ..

तौबा करते है हम तो दिल के लगाने से,
ज़िंदगी की शर्त पे भी ना अब प्यार करूँ..

एक बार देख लिया मुहब्बत को आज़मा कर,
क्यों दोबारा से दिल को अपने बेक़रार करूँ..

कोई नहीं है यहाँ रोने और मनाने वाला,
वक़्त रहते खुद कफ़न अपना तैयार करूँ..

रंजिश नहीं है कोई हमको इस ज़माने से,
किसका हुआ है यह जो इस पर ऐतबार करूँ..

लेकिन यादें तेरी जाती ही नहीं है दिल से,
इस सच्चाई से भी भला कैसे इनकार करूँ..
------------------------------------------------
Sachhaai Se Kaise Inkaar Karun

Raund daali hai dil ki zameen khud apno ne,
Kyon kisi ajnabii mehmaan ka intezaar karun..

Tauba karte hai hum to dil ke lagaane se,
Zindagi ki shart pe bhi naa ab pyaar karun..

Ek baar dekh liya muhabbat ko aazmaa kar,
Kyon dobaara se dil ko apne beqaraar karun..

Koi nahin hai yahan rone aur manaane wala,
Waqt rehte khud kafan apna taiyyar karun..

Ranjish nahin hai koi hamko is zamaane se,
Kiska hua hai yeh jo is par aitbaar karun..

Lekin yaadein teri jaati hi nahin hai dil se,
Is sachhaai se bhi bhala kaise inkaar karun..

Read more...

आख़िरी पड़ाव

बिखरी हुई साँसों में तो कोई ख्वाहिश नहीं पलती,
अब ज़िंदगी का यह आख़िरी पड़ाव भी है बस ख़तम होने को हमारा...

घुट रहे है खुद में ही जाने कितने दिनो से,
बचने लगे है अब हम हर किसी की नज़दीकियों से..
कहीं फिर ना आ जाए याद कोई दामन भिगोने को हमारा...

लफ़्ज़ों में एक ठहराव, और ख़यालों की हुई कमी,
लिखने को कुछ शेर नहीं, सहमी हुई है शायरी..
तड़प उठता है रह रह कर यह अक्स भी खोने को हमारा...
---------------------------------------------------------------

Aakhiri PaDaav



Bikhri hui saanson mein toh koi khwaish nahin palti,
Ab Zindagi ka yeh aakhiri padaav Bhi hai bus khatam hone ko hamara...

Ghut rahe hai khud mein hi jaane kitne dino se,
Bachne lage hai ab hum har kisi ki nazdikiyon se..
Kahin phir naa aa jaaye yaad koi Daaman bhigone ko hamara...

Lafzon mein ek thehraav, aur khayalon ki hui kami,
Likhne ko kuch sher nahin, Sehmi hui hai Shayari..
Tadap uthtaa hai reh reh kar Yeh Aks bhi khone ko hamara...

Read more...

तपिश का धुआँ

हमारी राह चलोगे तो बिखरोगे तुम यक़ीनन,
बरबादियों के सिवा इस राह में रखा क्या है...

कैसे सुनाए तुमको भला हम अपना हाल-ए-दिल,
कैसे बताए की इस बेरूख़ी की वजह क्या है...

तुम को बेवफा कहा तो नज़र झुक जाएगी हमारी,
हम भी तो नहीं समझते की वफ़ा बला क्या है...

बदनाम तुझे करके हमें क्या मिल जाएगा भला,
जहान में ऐसी शोहरातों का भी फ़ायदा क्या है...

दोस्त कोई तुम सा है यह काफ़ी है हमारे लिए,
सीख रहे है तुमसे ही हम की दोस्ताना क्या है...

गुज़र गया एक काफिला यादों का दिल को जला कर,
बस तपिश का धुआ है दिल में और बचा क्या है...
----------------------------------------------------

Tapish ka Dhuaan


Hamari raah chalogey to bikharoge tum yakeenan,
Barbaadiyon ke siwa is raah mein rakha kya hai...

Kaise sunaaye tumko bhala hum apna haal-e-dil,
Kaise bataaye ki is berukhi ki wajah kya hai...

Tum ko bewafa kaha to nazar jhukk jayegi hamari,
Hum bhi toh nahin samajhte ki wafa bala kya hai...

Badnaam tujhe karke hamein kya mil jaayega bhala,
Jahaan mein aisi shohraton ka bhi faidaa kya hai...

Dost koi tum saa hai yeh kaafi hai hamare liye,
Seekh rahe hai tumse hi hum ki dostaana kya hai...

Guzar gaya ek kaafila yaadon ka dil ko jala kar,
Bus Tapish ka dhuaa hai dil mein aur bacha kya hai...

Read more...

गुमसुम सा कोई बच्चा

ज़िक्र तेरे नाम का जब होता है ज़माने में,
साँस रोक अपनी हम चले आते है वीराने में..

अब रंजिश अपने दिल से हम कोई रखते नहीं,
मज़ा आने लगा हमें भी अपना दिल दुखाने में..

जाने कैसे चला आता है अश्कों का यह सैलाब,
थक गयी आँखें भी अब तो रोने और रुलाने में..

छोड़ जाते है कुछ लोग दिल में ऐसे निशान,
ज़िंदगी गुज़र जाती है दिल से जिन्हे मिटाने में..

ऐसे उदास हो चली है हर शाम ज़िंदगी की,
गुमसुम हो कोई बच्चा जैसे पतंग कट जाने से..

ना झूठा हौसला और ना दीजिए झूठी उम्मीदें,
होती है बहुत तकलीफ़ उम्मीदों के टूट जाने पे..
---------------------------------------------------

Gumsum Sa Koi Bachha

Zikr tere naam ka jab hota hai zamaane mein,
Saans rok apni hum chale aate hai veeraane mein..

Ab ranjish apne dil se hum koi rakhte nahin,
Maza aane laga hamein bhi apna dil dukhaane mein..

Jaane kaise chala aata hai ashqon ka yeh sailaab,
Thak gayi aankhein bhi ab to rone aur rulaane mein..

Chodh jaate hai kuch log dil mein aise nishaan,
Zindagi guzar jaati hai dil se jinhe mitaane mein..

Aise Udaas ho chali hai har shaam zindagi ki,
Gumsum ho koi bachcha jaise patang kat jaane se..

Naa jhootha hausla aur naa dijiye jhoothi ummeedein,
Hoti hai bahut takleef ummeedon ke toot jaane pe..

Read more...

इक बार मुड़ कर

मुसाफिर बन कर मेरी ज़िंदगी में आने वाले,
यादें छोड़ कर तन्हा मुझे कर जाने वाले..
एक बार मुड़ के देखा तो होता कभी मुहब्बत से,
मिलेगे तुझको कहाँ फिर हम जैसे बुलाने वाले..
-----------------------------------------------------
Ik Baar Mud Kar

Musaafir bann kar meri zindagi mein aane waale,
Yaadein chodh kar tanha mujhe kar jaane waale..
Ek baar mudd ke dekha to hota kabhi muhabbat se,
Milege tujhko kahan phir hum jaise bulaane wale..

Read more...

हवाओ से चोट खाने लगे हो

कैसे दिल को तुम अपने बहलाने लगे हो..
बुझे हुए दियों को रोशनी दिखलाने लगे हो!
बुलंद था हौसला जीने का तुझमे कभी..
अब तो हवाओं से भी चोट खाने लगे हो!!
-----------------------------------------------------

Hawaao Se Chot Khaane Lage Ho

Kaise dil ko tum apne behlaane lage ho..
Bujhe hue diyo ko roshni dikhlaane lage ho!
Buland tha housla jeene ka tujhme kabhi..
Ab to Hawaaon se bhi chot khaane lage ho!!

Read more...

Tumhari Palkon Ki Nami

Khwaabon mein jiski humne tammanna ki thi,
Aaisa suhaana humein koi manzar naa milaa..

Tumhari palkon par nami jo dekhi thi hamne,
Dil apna us nami se bheega bheega sa milaa…

Kehte hai woh to hai muhabbat ka khuda lekin,
Chand bhi aakaash mein tanha tanha sa milaa…

Yehi hota hai mukaam shayad yehi hona tha,
Kahin pe Heer naa mili kahin raanjha na milaa...

Read more...

Jaane Dil Tha.. Ya Patthar Ka Tukda

Dil ko kabhi aise usne churaaya tha,
Muhabbat ko mere ghar ka pata bataya tha…

Andhere tanha dil ke kamre mein aa kar,
Chahaton ka chiraag kabhi jalaaya tha…

Tham si gayii thi dhadkan bhi is dil ki,
Haathon se usne jo chehra mera utthaya tha…

Kaano mein aaj bhi goonjti hai wohi dhun,
Pyaar ka pehla falsafa jo gungunaaya tha…

Dhoondhti hai nazar duur talak uske nishaan,
Woh gharonda jo muhabbaton se sajaaya tha…

Magar..
Jaane dil tha uska ya patthar ka tukda koi,
Jaane kaise usne har vaade ko bhoolaaya tha….

Read more...

Gila Naa Kareinge...

Zindagi se apni naa, gila hum kareinge,
Sabse hans kar hi ab, mila hum kareinge...

Kya haal hai hamara, jaaney naa koii,
Hanste chehre mein, udaasi hai khoyi..
Seh lenge dard aur chuppa lenge aansu,
Hum tanhaai mein hi baha lenge aansu...
Mehfilo mein naa aankh bhara hum kareinge...

Aadat hai unki yeh to dil ko dukhaana,
Jee bhar rulaana aur jee bhar sataana...
Dil ko hum bhi apne kar lengey patthar,
Dikhlaayege naa kisiko dil ka sab manjar...
Naye Parde roz shakshiyat pe sila hum kareinge...

Read more...

Shor Uthha Hai

Bhojhal sii saanson mein,
Lipti zindagi meri...
Kasmasa rahi hai,
Apney bandhano mein...

De raha hai hausla,
Dhadak ke dil mera...
Keh raha hai ghabra naa,
Yun uljhano se...

Kehte hai ishq se,
Badhkar naa hua koi khuda...
Koi bataaye kya mila kisiko,
Aaisi kahawaton se...

Bahut kari dua,
Bahut roye tanhaai mein hum...
Laut aayi sada bhi meri,
Takra kar pattharon se...

Khamosh rahe hum,
Naa kiya koi gilaa...
Lekin aaj shor uttha hai,
Kahin dhadakano mein...

Read more...

Jaane Se Pehle

Jaane se pehle ki woh, Hamari aakhiri nazar,
Dil mein sada tum apne, Usey Yaad rakhna...

Raah mein milte hai, Bichhudte hai raahi,
Magar kahin na kahin, Gunjaaish-e-mulakaat rakhna...

Zindagi ko hamari yun, Tanha karne waale,
Mushkil ho gaya tere liye, Koi bhi fariyaad rakhna....

Keh daalun ro-ro kar, Sab apne dard ki dastaa,
Mumkin nahin dil mein daba kar, Har baat rakhna...

Read more...

Wohi Parchaaiyaan

Har khwaish zindagi ki humein bikhrii hui si lage,
Har lamha zindagi mein fakat tumhari kamii si lage...

Dekha humne aks apna aaine mein toh paaya bus yehi,
Apni Palakon ke koron par humein chitki nami si lage...

Kuredna bahut chaha tumhara naam dil ki zameen par se,
Yeh Dil ki sar-zameen magar sakht hoke jamii si lage....

Chuu bhi naa sakeinge kabhi jinn parchaaiyon ko hum,
Wohi parchaaiya zindagi ke gird bus ghoomtii si lage...

Read more...

Abhi Kho Lene Do

Phir aane laga khayaal wohi tujhse milan ka,
Phir sajjne laga aalam phoolon se chaman ka...
Phir khone lage hai hum tumhari meethi si yaad mein...

Aisa ho kaash tham jaaye aaj yahin par ye ghadi,
Sehamne lagi hai saansein aur bechainiyaan badi...
Rukne lagi hai dhadkanein ab dil-e-betaab mein...
Phir khone lage hai hum tumhari meethi si yaad mein...

Udd kar agar pahunch jaaye kareeb apne chaand ke,
Chaandni saari samet laaye aanchal mein baandh ke...
Baras rahi hai muhabbat bhi khushi ke unmaad mein..
Phir khone lage hai hum tumhari meethi si yaad mein...

Aankhein khuli toh tumko kahin paaya nahin humne,
Toote hue sapno ko abhi tak bhulaaya nahin humne...
Dheere dheere bhula denge inhe phir kabhi baad mein...
Abhi kho lene do phir humko tumhari meethi si yaad mein..

Read more...

Tum Chuaa Karo Unchaaiyaan

>> Tuesday, February 3, 2009

Aa kar kahin se humko bhi kabhi hausla de jaa,
Ghutt.ti hui si is Zindagi ko zara dua de jaa...

Bahut thak gaye hai bewajah hi jeete jeete hum,
Jeene ke liye fakat bewajah si ek wajah de jaa..

Tum aate ho ghar mein rulane bhar ko hi humein,
Aa phir rulaa humein, dil ko naya sadma de jaa..

Dekho phir simat aaye hai hum panaah mein teri,
Jaane se pehle kuch yaadon ka hi aasraa de jaa...

Har roz yunhi chuaa karo nayi unchaaiyon ko tum,
Pankh sametne ko humein tinko ka ghoslaa de jaa...

Read more...

Chaukhat Ka Diya

Chaukhat pe jalaaye rakha tha diya, Intezaar ka,
Deta rehta tha housla sa humein, unke pyaar ka...

Umeed si yeh lagi rahi bus ki woh aayege ek roz,
Aur umeed mein hi Guzar gaya, Mausam bahaar ka..

Bikhhar gayii sab khwaaishey, Toote sabhi sapne,
Rula ke gaya woh har ek pal, Ishq ke khumaar ka...

Read more...

Bikhrii Hui Saansein

Ab koi khwaish naa rahi hamari Bikhrii hui saanson ki,
Khatam hone ko hai yeh kahaani, Zindagi ke saath saath...

Is Aakhiri padav ko bhi hum tey kar lenge haste haste,
Yeh muskurahat mil jayegi hamari, Dardgi ke saath saath...

Ab ho bhi jaaye agar kahin Tumse mulakaat to kya naseeb,
Ponnch li humne apni har khushi, Aansuon ke saath saath...

Aaj ki raat bhi agar Neend hamse ruswa rahe to gum nahin,
Dheeme se band ho rahi hai palkein, Dhadkano ke saath saath...

Read more...

Kuch Bikhre hue Lafz

Teri khwaish jab bhi kabhi,
Dil mein bikhri hui lagti hai...
Apne hi dhadkan ki sadaa jaane,
Kyon ajnabi jaisi lagti hai...

Udaas safar raah se yun kehta hai,
Thakk gaya apne banjaarapan se,
Duur duur takk sunsaan nagar hai,
Manzilon ki yahan kami lagti hai...

Pukaarti rehti hai Maut rozaana,
Bahut thak chuki hai yeh shayad,
Kya umeed rakhun tujhse e zindagi,
Tu khud bhi bahut tanha lagti hai....

Read more...

Mere Kamre Ki Khidki

Mujhko talaash raha tha ya koi aur baat thi...
Raat Jhaank raha tha chand Kamre ki Khidki se...
Yaad uski dil se mere Guzar rahi thi aise,
Chaandni utar rahi ho jaise Kamre ki Khidki se...

Read more...

Kho Gaye Hum Sitaaron Mein

Kyon dhoondhte ho ab humko nazaaron mein,
Hum kho chuke hai jab anginat sitaaron mein...

Bahut roye hum teri muhabbat ki aas mein,
Lo chale aaye hum phir tapte angaaron mein...

Ab naam hamara le kar rona naa kabhie tum,
Duayein hamari tumko rakhegi bahaaron mein...

Tumse humko koi bhi shikwa nahin hai ab,
Zindagi kat gayi tamaam Intezaar'o Izhaaron mein...

Read more...

Bebas Si Zubaan

Meri bebas sii yeh zubaan kya kahe tum se,
Bahut roye hum raat tujhe yaad kar ke...

Woh deewangi meri, woh bebaakpan mera,
Hanste rahe hum aankhon mein aansu bhar ke....

Jaane kyon na samjhe tum mere jazbaaton ko,
Humne to rakh di har khwaish be-libaas kar ke....

Poochtey hai log kya hua hai tumhe "Shikha",
Kyon jee rahi ho aise tum har roz marr ke....

Read more...

Ek Naya Taj Mahal

Roti hui aankhon ki adakaari se dekho,
Pathhar dil yeh hamara pighal gaya...
Phir tum Shahjahan, Phir hum Mumtaz,
Aur Ek naya Taj Mahal phir bann gaya...

Read more...

Khwaab

Mujhe le chal mere saathiya..
Aankhon par apni bitha kar…
Main dekhna chahti hoon,
Yeh Jahan apni nigaah bhar….

Tum keh do mujhko ek baar jo,
Main maan loon har baat woh,
Dinn ko raat ya raat ko dinn,
Hai yakeen mujhe teri har baat par…

Tu mujhko chahey mita de ab,
Aur chahe gale laga le mujhe,
Main rakh diya Tere kaandhey par,
Badii hasraton ke saath apnaa sir….

Mere haath ho tere haath mein,
Dil dhadke mera tere seene mein,
Saja hai khawaab yeh aankhon mein,
Muhabbat bhara ho kahin apnaa ghar…

Read more...

Beet Naa Jaaye Samaa

>> Monday, February 2, 2009

Meri udaas shaamo ko kai mehfile tuney di,
Mujhe diya hai saath tumne apni chahat ka,
Chupke se aa gaye ho meri zindagi mein tum,
Chiraag jala gaye ho dil mein muhabbat ka....

Tham gayii nadi mere dard ki kuch pal ke liye,
Theher gaya hai tufaan meri uljhano ka,
Kar lo char baatein hum se aaj tum yahan,
Beet naa jaaye sama yeh meri muskurahat ka...

Read more...

Sapne Unke Milan Ke

Dekho gulaab ke phool par us ons ki boond ko,
Kaise damak rahi hai woh sang apne sajan ke..

Kuch socho jara khwab woh jo bante hai dil mein,
Kisi Nayi Naveli sii sharmaii sakuchaii dulhan ke..

Woh khushi jo chaand mehsoos karta hai har raat,
Jab milte hai us se lag kar gale sitaare gagan ke...

Aur woh muskurahat si kisi maali ke labon par,
Dekh kar khilte rangeen phool apne chaman ke...

Aaise hi kuch khyaal hai dil mein samaaya mere,
Sapne din mein dekhte hai hum unke milan ke...

Read more...

Do Phool Milne Lage Hai

Sajne ki humko jarurat hai kya,
Muhabbat se teri sawarne lage hai,
Teri yaad apne dil mein basa kar,
Din raat hum to nikharne lage hai...
Muskurate hai tumko khayalon mein pa kar,
Labon par kai phool khilne lage hai...
Thaam ke dil aaj bethe hai hum yu,
Ki do phool aapas mein milne lage hai...

Read more...

Dil To Royega Pehron

Kyon bhala ab soche hum ki
aagey jaaney kya hoga....
Ek kadam badha diya hai
ab peechey ja kar kya hoga....
Umeed dil sey laga chukey hai
Anjaam iska jaaney kya hoga....
Kabool muhabbat kar lo meri
Ab dil ko dhukha kar kya hoga....
Jo naa mano mera kaha to
Socho naa ki kya hoga....
Dil to royega pehron phir,
Labon ko hansa kar kya hoga....

Read more...

Khayaal Tera Dil Se

Tohfa lene ke naa thhe kaayal hum kabhie bhi,
Dil ka tohfa magar hum aakhir thukraate kaise...

Haath thaam kar mera tum le aaye muhabbat mein,
Haath tumsey hum chuddha kar chale jaate kaise...

Kehte hai ki deewaro ke bhi kaan hote hai,
Haal-e-dil apna hum tumko bhala batate kaise....

Duur thi manzil tumhaari, raah tumhaari takti hui,
Manzilon se tumko wapas hum bulaate kaise...

Hai guman ki ab bhi khayaalon mein baste hai tere,
Khayal phir tera hum dil se apne bhulaate kaise....

Read more...

Raakh Ho Liye

Duur jaana chahte thhe,
Par paas ho liye….
Tum Udaas thhe is liye,
Hum Udaas ho liye…..

Judaa humne khud ko,
Tumse kar liya aakhir….
Tum Zameen thhe is liye,
Hum Aakash ho liye….

Khud ko humne teri,
Justju mein jala diya…
Dekhiye zara kadmon taley,
Hum to raakh ho liye….

Read more...

Tu Aag Hai... Main Hoon Dhuaan

Pyaar ki kya hai intehaa..
Mujhey kya khabar, Mujhey kya pata….
Dhadak rahi merey dil mey aaj,
Ek teri kami, Ek teri Sadaa….

Gum-e-Duniya sey hum bhaag kar,
Aa Bethey terey pehlu mey hum,
Dil maangey ab bus yeh dua,
Ab chodh du yeh Jism-o-Jaa….

Woh aawaz peecha karti hai,
Ek kami sii dil mey khalti hai,
Kaisey tum ko bhoolun main,
Tu Aag hai, main hu Dhuuan….

Gum naa karna mera tum,
Muskurana yun hi hardam tum…
Hum jaa rahey hai chod kar,
Teri mehfiley, Teri yeh duniyaa….

Di khalish tumney, kiya gumjada,
Karo aur sitam ek mujhpar tum…..
Mein jee loongi terey begair,
Tu Bhi Bhool Jaa….Mujhey Bhool Jaa….

Read more...

Samjho Humein Apna (Part 2)

>> Sunday, February 1, 2009

Samjho humey apna....
Aur ek baar jatla do....
Hai pyaar tumhey bhi....
bus itna batla do....

Mein aur naa kuch tumsey
chahugi kabhie bhi,
Apni chahat sey ek baar bus
parda hata do....

Kehney ko naa kuch hai,
naa sunney ko kuch baaki....
Aankhon mey betha lo chahey,
Ashkon mey baha do....

Read more...

Samjho Humein Apna

Tum Samjho humey apna,
Magar apna naa likho....
Kehtey hai sab,
dard sey bheega koi lamha naa likho....

Woh apney gum mey doobey,
Hum un key gum mey doobey...
E khuda phir mila dey unsey,
Kismat ko meri, phir tanha naa likho....

Dil kehta hai ek baar unsey,
inkraar kar ke to dekho...
Kismat kehti hai,
khud zindagi mey apni koi hadsaa naa likho....

Ab tak woh zakhm puraaney,
bharey nahin is dil ke....
Meri hatheli ki rekhaon mey,
Ab koi Nayaa vadaa naa likho.....

Read more...

Jeene Ki Chah

Dil mera, teri yaadon ko sametey huey,
Raat ki baahon mey,
Aankh band karta hai jab ho’ley ho’ley,
Phir sey pukaarta hai tumhey…
Inhi viraano mey, dil key galiyaron mey….

Aaj phir isney ek khwab dekha,
Khwab mey phir tera chehra dekha…
Ghabra key aankh jab khul gayi to…
Aankh khultey hi teri aawaaz sunaii di mujhko…
Phir saath saath rahey tum yaadon mey meri,
Jab tak ki palken bhojal naa ho gayi…
Aur jaisey hi palkon ney band hona chaha,
Phir goonji teri aawaaz merey kaano mey kahin…
Tum chup-chaap sey merey khwabon mey
Chaley aatey ho…
Mein tasveer teri jo takiye key neechey chuppa deti hoon,
Tum phir sey us tasveer ko merey dil mey basa detey ho…
Nahin fark padta tha mujhey,
Jo tum mil nahin sakey mujhey...
Meri umeedon mey, merey sapno mey,
Toh tum roz miltey they mujhey….

Kal tak chuppa hua ek raaz tha yeh,
Magar ab aur nahin chuppaya jaata,
Dil mey apney ab mujhsey bhi,
Yeh dard nahin basaaya jaata….
Aaj kehti hu ki mainey sapno ko toot tey dekha hai,
Apni zindagi ko khud viraan hotey dekha hai…
Bichaddtey dekha hai mainey apno ko apno sey hi,
Khud ko kai baar khud hi martey dekha hai…

Tum bhi bhula do mujhey ab,
aur mein bhi bhool jaana chahti hu,
Ek baar haan aakhiri baar hi sahi,
Tere ishq-o-muhabbat se guzar kar,
Mein bhi jeena chahti hu….

Read more...

Khair Dekhte Hai Humein

Unki nazaron mein hum gunaahgaar hi sahii,
Unkii nazaron mein rahe, yeh baat kam nahin....
Woh dekhte hai humko aise begaano ki tarah,
Khair dekhte hai humein, bus ab koii gum nahin...

Read more...

Sisskiyon Ke Saath

Yeh kaisa hadsaa hai hamari zindagii ke saath,
Dil mein muhabbat hai magar dardgii ke saath...
Dhadkan hai baaki dil mein kahin thamii thamii si,
Jaan nikal rahi hai magar kisi ki sisskiyon ke saath...

Read more...

Hum Bhi Roye

Nigal gaya jinhein waqt ka samundar,
Taalashte hai hum woh guzre mukaam muhabbat mein....
Chand bhi roya dekh kar haal hamara,
Hum bhi roye raat bhar ho kar nakaam muhabbat mein.....

Read more...

Bewafa Naam Hamara

Majboor humein is duniya ne kar diya...
Hamare sabr ka intehaa kuch is kadar liya...
Dil hamara jala dalaa wafaaon ke naam par,
Aur phir Bewafa hamara hi naam rakh diya...

Read more...

Aadat Jaati Nahin

Tanhai ki aadat hai, aur aadat yeh jaati nahin,
Vada kar key teri nazar, vada nibhaati nahin..

Hum kehtey hai ek baar to dekh humko mudh kar,
Yeh kehti hai, haalat teri mujhsey dekhi jaati nahin....

Pehley to kabhie kabhie chali aati thi aagosh mey,
lekin ab teri yaad bhi daman mera mehkaati nahin...

khud hi padh kar ro detey they kabhie hum gazal apni,
lekin Aankhon mey meri ab yeh bhi nami laati nahin.....

Tanha chodh gaye sab humey zindagi ki raah mey,
Maut bhi dekhiye jara merey kareeb aati nahin.....

Read more...

Chaand Ro Raha Tha

bichud kar rahon mey tumsey
apni mazil ko paane chale hum
reh gaye mazil talashte tanha.......

rakha dil key tukdo ko humney
jod kar paas paas to paaya,
har tukda ro raha tha tanha.....

tumsey dil ki baat abhi tak to,
kuch huii bhi naa thi aur,
is dil to chodh gaye tum tanha...

uthaya sir dua key liye humney,
khuda sey to paaya,
sitaron mey chand ro raha tha tanha...

Read more...

Bekhabar Se Tum

Gum rehte thhe meri nazar mein kuch is kadar se tum,
Aur rehte thhe dil ke haal se hi bade bekhabar se tum....
Phir bichuddh gaya Raasta tera meri manzilon se yunhi,
Yeh bhi bhool gaye ki ek waqt mere humsafar thhe tum...

Read more...

Maaiine Nahin Muhabbat Ke

Hum bhi Gumnam hue thhe kisi ki chahat mein,
Kisi ko paaney ki hasrat mein, kisi ki ibadat mein...
Kho kar apni shakshiyat ko hum yeh jaan gaye,
Kuch maaiine nahin hai is lafz-e-muhabbat ke...

Read more...

Begaani Si Nazar

Ek aks ban gaye ho tum,
jo dil sey nikalta hi nahin..
yadon key kadmon pey chaltey,
ley jaatey ho tum mujhey wahan...
Khodti hu mein mitti mey khoye huey naam,
kuch ret'h key mehel jo banaye they humney...
Shayad dabey ho yahin kahin..
Ya samundar samay ka nigal gaya hai unhey...
Woh waqt jo beet chuka hai..
Kyon dil mey ek dard choddh gaya hai...
Kyon bhedta hai teer mujhey teri nazar ka,
woh nazar jis par mera ab haqq nahin..
Jo utthti nahin thi merey chehrey sey kabhie,
aur ab jhukh jaati hai merey naam sey bhi....

Read more...

Dhoomil Ho Jaati Hai Zindagi

Re't ki tarah dhoomil ho jaati hai zindagii,
Re't ki tarah beh jaati hai kyon zindagii...
Pal bhar mey safar yeh tamaam hoga..
Maut ki shakal mein badal jaati hai zindagii...

Harr waqt ka hisaab yahan rakha hai,
Waqt par zor bhi kab kiskaa chala hai...
Bikhar jaata hai insaan tukde tukde ho kar,
Aur Bikhar jaati hai kabhi re't si yeh zindagii...

Read more...

Talabgaar

Zindagi tera haasil kya paaya humne,
Apney saaye sey bhi chehra chupaaya humne....

Do ghadi baat karney ko unse jo talab ki dil ne,
Ta-umr khud ko unka Talabgaar banaya humne....

Ladkhadane lagti hai jubaa unsey kuch kehte kehte,
Nasha-e-gum mey khud ko itna dubaaya humne....

Nazar pher lete hai nazron mein basne waale,
Aise unki nazaron mein khud ko giraaya humne....

Khalipan hai ek soonapan hai zindagi mein humari,
Tanhaaii ko ek baar jo gale se lagaaya humne...

Ab to kuch dikhta nahin kaali andheri raat ke siwah,
Jalte deepak ko dhalti shaam mein bujhaaya humne....

Thaama nahin haath mera, roka naa kisi ne bhi,
Zeher peene ko jab apne labon se lagaaya humne...

Bheeg gayi palken sabki, ro diye dil jahaan waalon ke,
Kuch is kadar apna haal-e-dil unko sunaaya humne.....

Read more...

Ek Lamba Safar

Yeh Safar zindagi ka ek lamba safar hai,
Mushkilon sey bhari iski har ek dagar hai....

Koi puchhta hai humsey jab haal dil ka,
Kehtey hai tanhaii ka kuch is par asar hai....

Hanstey hai hum ab bhi apney dukhon mey,
Jo rula dey humey us Dard ki abhi kasar hai...

Kho jaatey hai soch kar khud key barey mey,
Kahan hum khadey hai yeh kaisi rehguzar hai....

Kamjor nahin hum yeh to hum jaantey hai,
Tum kuch bhi kaho yeh tumhari nazar hai....

Read more...

Raah Yeh Patthareeli Si

More ke pankh ke jaisi hai rangeeli si,
Phir bhi yeh zindagi to hai zehereeli si...
Jaaney kaisey jee lete hai log ise,
Hum ko to lagti hai sez yeh kateeli si….

Moti ki tarah jazbaat dil mein rehte hai,
Lekin hum kisi sey kuch nahin kehte hai..
Koi kehkashan nahin milta is dagar mein,
Dekh li hum ney raah yeh pathhreeli si….

Ek leher ki tarah muhabbat chali aati hai,
Humko khud se hi gumraah kar jaati hai…
Kinare se takraati hui phir laut jaati hai,
Saath le jaati hai zindagi-e-rei't geeli si…

Read more...

Dil Lagaana To Padta Hai

Zindagi aasaan nahin par jeena to padta hai..
Har mushkil ko hans kar paar karna to padta hai...

Ab bhi yaad kartey hai bachpan key woh khel hum,
Bachpan ko Jawani mey tabdil karna to padta hai....

Haath sey chhut'ti hai gili ret'h si yeh zindagi magar,
Isi reit se mehal khushion ka banaana to padta hai...

Yeh Dil to toot sakta nahin humara hargiz kyonki,
Dil ke tukde karwaane ko dil lagana to padta hai...

Read more...

Dil Ka Har Tukda Banjar

Khushi sab ke chehre par dekhi to hai
Phir bhi apna yeh dil udaas lagta hai....

Apnaya hai sabko aur khud ko kho diya hai,
Ab kuch aur khone se darr lagta hai...

Dil ki baat hum kisi se keh nahin saktey,
Zindagi apni mushkilon ka safar lagta hai....

Raastey mey bahut log miley humko bhi magar,
Sabki baaton mein chuppa ek khanjar lagta hai...

Phool khiltey hai yahan par murjhaney key liye,
Dil ka har ek tukda hum ko banjar lagta hai...

Raat din lage rehte hai Mele duniya mein phir bhi,
Jaane nazar ko soona soona sa ye shahar lagta hai....

Read more...

Harr Shaksh Naqaabposh


Zindagi tujhko bhala kya apna banaaye hum,
Maut se khud baithey hai apna dil lagaaye hum...

Kadmo ki aahat gumaan karaati hai unhi ka,
Rakhne lage hai ab khud apna kafan sajaye hum...

Koi aayega aur phir kahega bewafa humein,
Baithey hai dekho apna kab se sir jhukaye hum...

Likh de koi kahaani meri chahey adhoori hi sahi,
Phirte hai haathon mein kora kagaz uthaaye hum....

Har shaksh naqaabposh sa nazar aata hai yahan,
Ab kis ko de dein dua aur kis.se daaman bachaaye hum...

Read more...

Manzilon Ka Rasta Nahin

Rokne ki koshish ki, par yeh hamari sunta nahin,
Samay ka yeh pahiya dekho kabhi thamta hi nahin...

Ankhon ne dekhi hai is zamaney mein khushian kai,
Is dil ka kya kare hum, jo kabhie khush rehta nahin....

Kehte hai ki hamare dil mein hi bastey hai woh kahin,
Jhaankh kar dekha dil mein to koi bhi dikhta nahin...

Zindagi ki tanha raahein hum ko lagti hai udaas udaas,
Manzil par jo pahuncha dein, yeh to woh rasta nahin...

Read more...

Jeene Ki Wajah Nahin

Gum miley chahey khushi...
Ab to kuch parwah nahin...
Zindagi sey humey apni..
Ab koi shikwa bhi nahin...
Aadat ho chali hai humey
Har haal mey jee leney ki
Lekin yeh bhi sach hai ki
Jeene ki koi wajah nahin.....

Read more...

Ek Tanha Safar

Saath hai, Saathi bhi hai, phir bhi adhurapan sa hai,
Ek tanha sa safar mujhko lagti hai yeh zindagi..

Read more...

Reit Si Yeh Zindagi

Ab Saath mera chodh dey to kya hua e zindagi,
Hum ney toh naam unkey kar di thii apni zindagi....

Anjaaney sey chehron mey apna chehra talashtey hue,
Kho gaye hum bheed mey to kya hua e zindagi...

Sach kehney walon ko to thokarey hi milti hai yahan,
Pehchaan gaye hum tujhko ki tu kya balaa hai zindagi...

Maut key dard sey darr kar bhagta hai har insaan yahan,
Koi inko yeh bata dey ki dardon ka ek silsila hai zindagi...

Umar guzar gayi apni to rotey hue behlatey hue khud ko,
kaun kehta hai ki bahut yeh khushnuma hai zindagi....

Sambhalnaa isko hai mushkil, hai bewafaii karna iski fitrat,
Ek din Haath sey phisal jayegi geeli re't sii yeh zindagi...

Read more...

Woh Jab Muskuraate Hai

Woh jab bhi kisi baat par muskuratey hai...
kai rang phir sey zindagi mey bikhar jaatey hai...

Woh baat baat pey thaam letey hai apna dil,
Kehtey hai ki tauba hai yeh terey gaal ka til,
Hum unki hansi baaton mey kho jaatey hai....
Kai rang phir sey zindagi mey bikhar jaatey hai....

Kehtey hai muhabbat hai teri har baat sey mujhey,
Ab to keh dey meri muhabbat pey aitbaar hai tujhey,
Sun kar hum dil hi dil mey ghabra jaatey hai....
Kai rang phir sey zindagi mey bikhar jaatey hai...

Unko dekhey bina ab cha'in humey aata nahin,
Unsey bhi yeh dard judaii ka saha jaata nahin,
Khawabon mey woh aakar yeh batatey hai...
Kai rang phir sey zindagi mey bikhar jaatey hai...

Merey Dil ko roshan kar jaati hai har baat uski,
jaaney kab hogi merey naino sey mulakaat uski,
Mandir ki chaukhat par hum apni raat bitatey hai...
Kai rang phir sey zindagi mey bikhar jaatey hai...

Read more...

Woh Hai Abhi Anjaana

Ab bhi meethi baatein uski,
karti hai diwanaa saa....
khwabon saa sab lagta hai,
lagta hai afsanaa saa....

karta hai intzaar mera jo, garam dopahar main,
jalta hai is shamma key sang,
lagta hai parwanaa saa....

Sang naa uska de paugi, mujhko yeh afsos hai,
Chalak naa jaye pyar mera,
is dil sey paimanaa saa....

usko main pehchaanti hu, haal-e-dil sab jaanti hu,
lekin meri majboori sey,
woh hai abhi anjanaa saa....

Read more...

Uski Baatein...

>> Monday, January 26, 2009

Uski baatain sunn kar mujh ko, waqt laga kuch thera saa,
lekin un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa....

main bhi hath tham leti uska, lekin sanson per hai phera saa,
jo bhi ho un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa...

raat mila woh sapno main, kuch paresha, kuch hairan saa,
keh key gaya wo aaisi baatain, jinmein pyar chuppa tha ghera saa...

phool khil gaye is jeevan main, pehley tha jo viraan saa...
aaisi meethi baatein thi woh, jinmein pyar chuppa tha ghera saa....

Read more...

Yun Hausla Dete Hai Log

Hum ko kuch is tarah se muhabbat mein hausla detey hai log...
Ajeeb sey rawwaiye se maathey pey shikan laa detey hai log....

Jab kehte hai waqt nahin chalta aage muhabbat ke begair,
Humko humara hi chehra aainey mein dikha detey hai log....

Jo poochetey hai hum unse ki kaisa hota hai ishq ka samaa,
Andheri tanhaa raaton meiy le jaa ke bitha detey hai log....

Kahin par toh khatam hogi yeh wehshat naseebon mein se,
Haathon ki rekhaaiye hamaari humko padha detey hai log....

Read more...

Gehra Rang Mitaayein Kaise

Rang gehra hai, hum isey ab mitaye kaisey,
Phir sey duniya key rang mey rang jaye kaisey....

Humney khud ko hi di hai saja-e-maut doston,
Ab khud apni baat sey hi palat jaye kaisey...

Yeh dard, yeh aansu yeh sab unki amanat hai,
Inhey hum apni palkon par bikhraye kaisey...

Woh galey miley begear chale jaatey hai yuhi,
Hum unko apney kareeb ab ley aate kaisey...

Aah jo li humney to angarey miley zubaa par,
Ab dil ki baat hum phir zubaa par laye kaisey...

Apney hathon hi likhi ho jisney kismat mey tanhaii,
Apney hi khooni likhavat ko hum ab mitaye kaisey...

Ek kaaley shayah mod par aakar tham gayi hai zindagi,
Is zindagi ko hum ujaley ki aur ab laye kaisey....

Read more...

Darr hai Bas Yeh

Aankh se jo bahe aansu toh, Yeh duniya badnaam karegi..
Nakaami aur Zillat ko yeh, Phir sey hamare naam karegi...

Haath badhaaya humne kabhi jo, Is ka sahara paaney ko,
Huss kar sare-bazaar mein, Yeh izaat bhi nilaam karegi...

Haathon se chehra chupa ke, Chup baithe hai mehfil mein,
Koi jo aa kar baat karega, Phir jeene ki umeed jagegi...

Sach hai yeh ki chalney se hi, toh chalti hai yeh zindagaani,
Lekin hum ko darr hai bus ye, Hum par hi koi chaal chalegi....

Read more...

Marusthal Sa Jeevan Mera

Marusthal sa jeevan mera, Raigistan sa lagta hai mann,
Ek band darwaza hai yahan,
Baaki sub kuch khandar hai....

Baar baar yeh kehti hoon, khud mein hi main rehti hoon,
Aankhon main kuch sapney hain,
Lekin dil to apna banjar hai....

Darti hoon main raaton se, Sabhi ki meethi baaton se,
Baaton mein sabki teer chupe hai,
Aur hathon mein khajar hai....

Muhabbat ki basti ko, Har Roz ujadtey dekhti hoon,
Kaise hoslaa kare koi yahan par,
Dil ko dehlata harr manjar hai....

Read more...

Ashqon Ki Dukaan

Kaisey kahe tumhe hum yeh dastaan apni,
Nahin tum samajh naa paaoge yeh dastaan apni...

Humare kadmon sey lipat rakhey hai jo bhawar,
Kaisey chudha le unse ab hum yeh jaan apni...

Muhabbat ki baatein bhi toh humse ki nahi jaati,
Khud hi sil chuke hai shayad hum zubaan apni...

Yahan khushion ki chah karoge toh gum hi milenge,
Ashqon se sajaayi hai zindagi ki yeh dukaan apni...

Read more...

Tumhara Aks Ubhar Aaya

Jab Kabhi socha kareeb aane ko tere,
Jab Kabhi khoye tere khayaalon mein,
Apne dil se khoob lade bhi hum..
Apne hi dil se naaraaz rehne lage...

Jab kabhi sochi teri woh pyari baatein,
Tera pyar jatlana aur dena dilaase,
Apney dil to tattola ghanto takk..
Aksar hi palkon ko bhigone lage...

Jab kabhi humein yaad aayi woh surat,
Aur woh teri aankhon ki kashish,
Tera hi aks ubhar kar aaya hardam,
Yaadon ko jab bhi sajone lage...

Read more...

Kaisi Aashiqui Teri

Kaisa hai yeh deewanapan, Hai kaisi aashiqui teri,
Tum kyon nahi samajhtey, Main nahi zindagi teri...

Duniya hai.. Dushman hai lakh muhabbat ke yaha,
Khud zakhmon ki maari, kya samjhegi dardgi teri...

Dil lagaane ki baatein kya, bematlab ka aana jaana,
Muhabbat hai ya zidd hai ye, ya phir aawaargi teri...

Read more...

Gunaahon Ki Moorti (Part 2)

Tanha hi ye rehti hai, na koi dekhe ise mudd ke bhi,
Reit se bani hui, reit se dhaki hui....
Ye moorti hai, reit ki, naa hil sake jo khud se bhi..
Naa keh sake ye dil ki baat, khud hi se uljhii hui.....

Sab ne bas ye soch liya, Yeh patthar hai ise tod diya,
Khela kabhi iske tukdon se, kabhi isko tanha chod diya...
Na kare shikaayat kisi ki ye, na muuh kholti hai ye,
Ye aankh ko moonde hue, hawa se bhi darri hui....

Ab na is se kismat jodna, naa is ka dil ab todna,
Bahut seh chuki jo guzar gaya, kahin keh uthhe na haar ke,
Pyaar mujhe bhi chaahiye, mujhko bhi jeena hai..
Kahin phir se naa jee uthe, yeh kabhi ki marri hui...

Read more...

Woh Sab Sapna Hai

Is duniya ke mele mein,
Yeh dard hi to apna hai,
Pyar ko dekha, aur khushi bhi,
Lekin woh sab sapna hai...

Saansein teri reh reh kar,
Aati hai mere lab chuunne,
Inse main kyon dil behla loon,
Honthon ko nahi tapna hai...

Ab naa dekho rooh ke ghaav,
Ab naa dekho zakhmo ko,
Tere dard se dard mila ke,
Naam khudaa sa japna hai...


Read more...

Mere Haath Sirf Parchaayi Hai

Phir wohi band kamra hai,
Phir wohi wehshipan hai,
Phir wohi khaamoshi hai,
Aur phir meri tanhaai hai...

Humne jo ro ro kar gujari thi,
Phir raat woh kaali aayi hai....
Phir se hua hai wo gairo ka,
Mere haath uski parchaayi hai....

Phir sey uski woh sab baatein,
Jis se sharm sharmaayi hai....
Phir se hue hai dil ke tukde,
Phir aankh meri dabdabaai hai....

Ab to de de maut khuda tu,
Kya yehi teri khudaaii hai...
Sisak sisak ke hi hai jeena,
Ye Kis baat ki sazaa sunaai hai...

Read more...

Gunaahon ki Moortii

Mere pairon mein janjeeren hai,
Haathon mein hathkadiyaa,
Main band padi hoon.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Siskiyaa hai, aansoo hai, dard hai yahan,
Bhaag nahin sakti hoon.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Bechain mann.. bhara hua uljhano se,
Suljha nahin sakti jinhe.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Yaad karte hue, woh ehsaas, jazbaat, wo pyar,
Aankh patthar ho gayi meri.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Woh toot kar chaahna tujhe, woh mera pehla gunaah,
Rok nahin paayi jisey main.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Read more...

Aas Abhi Baaki Hai

Rundhii Rundhii, Dabii Dabii si kahin,
Siskiyon ke beech mein phasi si kahin...
Dil mein woh Teri yaad ab bhi baaki hai...
Tujhse milne ki aas kahin baaki hai...
Woh Adhoori si fariyaad abhi baaki hai...

Read more...

Ab Nabz Khone Ko Hai

Ek raat bhi apne toh muqaddar mein nahin,
Shaam zindagii ki aakhirii hone ko hai...
Gumgeen sii ho chalii hai dhadkan iss dil ki,
Nabz bhi lagey jaise bus ab khone ko hai...

Read more...

Ye Kaisi Aajmaaish Hai

Benoor, Berang, Adhoori si,
Yeh kaisi khwaish hai…
Dil mey chayyii bekaraari si,
Yeh kaisi aajmaish hai…

Khamosh, Gumsum, Udaas si,
Shaam udaas si aayi hai…
Badle hue khayaalat hai magar,
Wohi puraani tanhaai hai...

Aawaara, banjaara, anjaana sa,
Yeh safar bhi saudaii hai,
Dil dein hum ya Jaan de dein,
Har haal mein ruswaaii hai…

Read more...

Yun Chup Naa Raho

Kuch baat karo humsey, yu chup naa raho,
Hum bhi ghuth rahey hai khud mein,
Kuch kahe sune bagair…

Waqt nahin paas tere shayad mere liye,
Phir bhi kiya tera hi intezaar humne,
Har Peher-dar-peher…

Le raha hai jaan yeh hamari har ghadi,
Kaat raha hai dheere dheere dil ko,
Tanhaaiyon ka ye zeher….

Read more...

Tanhaai Humse Muhabbat Nibhaati Hai..

Kyon reh reh kar yeh humarey paas hi chali aati hai,
Is tanhaai ko dekhiye, humse muhabbat nibhaati hai...
Yeh hi hoti hai paas, har subah ko har sham ko bhi,
Raat hotey hi aksar hamari sez par bhicch jaati hai....

Read more...

Itna Kaise Badal Gaya

Aaj phir raat hai thami meri,
aaj phir aankh main nami meri,
aaj phir hath chodh gaya koi,
Aaj phir dil koi toud gaya...

Le gaya hai woh kasam aaisi,
ki roungi nahin hargiz main judaai mein...
phir aansuon ko peena hi hoga apney,
Apna Gam naa kisi se bola gaya...

Masoon se dil par phir woh,
nashtar judaii kaa chala gaya,
main phir sey sochti hu aaj ki raat,
Ki Woh itna kaisey badal gaya.....

Read more...

Yaad

>> Saturday, January 24, 2009

humney bhi zakhm sahey hai dil par,
humney bhi lakh inhey chupaya...
jab bhi chupaya inhey apni hansi sey,
ankh ko humney apni num paya...
yeh such hai kanjar miltey hai zakhm pur,
jab bhi inhey teri yaad sey sehlaya...
bahut kosish ki humney tujhey bhulney ki,
phir bhi e bewafa tu humey roz yaad aaya...

Read more...

Phir Wohi Tanhaai

Kal raat mili andherey main khadi tanhaai mujhey,
lag gayi galey jaisey jaanti ho sadiyo sey mujhey....


Haan...


Yeh na socha tha ki phir tanha hongey hum,
par tere aaney key baad phir tanha ho gaya..........

Pyar ka jo humney gharonda sajaya tha,
sajatey hi lagta hai, jaisey bikhar gaya..
do lafj teri jubaa sey pyaar key,
suney hue lagta hai, jamana guzar gaya..

Puchha phool sey kyon murjha gaye ho tum,
bola dekho pyaar ka mausam badal gaya..
jisey dekh kar khilti thi aankhon ki kaliyan,
roz dhoondhti hai usey, ki kidhar gaya.....

Read more...

Jaate Ho Toh Suno

Jaana chahtey ho du’r to shauk sey jayiye…
Apney hathon sey hansti humari magar,
Mitaa kar jayiye….

Ek baar has kar to dekhiye Humey,
Naa Royiye khud, aur naa humey,
Rulaa kar jayiye….

Dil sey dua tumko hum detey hai Sanam,
Jara mud kar dekh lijiye,
Muskura kar jayiye….

Haath mey kuch nahin ek terey haath ke siwa…
Is kadar naa haath mujhsey,
Chudda kar jayiye….

Kaun ho tum, kaisey bus gaye meri tanhaaii mey,
Yeh nakaab jara chehrey sey,
Hata kar jayiye….

Tumhaari yaad reh gayii to kahan bhijwaun mein,
Apney ghar ka pata to humey jara,
Bata kar jayiye….

Saath apney tum lekar chal diye mera aasmaa,
Ab merey pairon taley ki zameen,
Naa lekar jayiye….

Thak gaya hai ab yeh roshni baat'tey baat'tey,
Raat bhar jala hai jo diya,
Bhujha kar jayiye…..

Read more...

Ankahi si baatein

Raat bhar jagtey rahey hum unko manatey rahey,
Dil mey ab bhi kuch baatein hai jo un-kahi baaki hai....

Khud ko gira diya humney apni hi nazar mey lekin,
Phir bhi Dil mey uskey abhi kuch berukhi baaki hai...

Rooth gaye hum khuda sey bhi ki kaisi zindagi hai yeh,
Gum hi hai ya ab bhi kuch ismey khushi baaki hai...

Kya Bhool chukey hai woh, Nazar mey hai kya ab bhi hum,
Kya ab bhi uskey dil mein wohi pehley si aashiqui baaki hai...

Humney kaha e maut aa kar ab tu hi laga ley galey mujhey,
Hus key boli woh ki nahin abhi teri zindagi baaki hai...

Read more...

Ek Deep Aankhon Mein

Ek deep aankhon mey jala kar raat bhar baithey,
Kuch khawab palkon par saja kar raat bhar baithey..

Woh hi lekar aaye khanjar mera dil cheerney ko,
hum jinki hifazaat mey raat bhar baithey...

Masal kar dil key phoolon ko woh khush hotey hai,
Rahon mey jinki khiyaaban ban kar raat bhar baithey....

Dehka kar chaley gaye merey ghar ko is tarah sey woh to,
Hum Deepak ban kar jinkey ghar mey raat bhar baithey....

Read more...

Apna Gam Kam Laga

Dard-o-Gum bhara nazar aata hai humko zamaane mey,
Ab apna gum kam lagney laga hai zamaaney mey....

Hanstey hue chehrey key peechey chupey hai maayusi key saaye,
hum ney jis bhi kisi chehrey key peechey jhaankh kar dekha...
Har khushi key saaye mey paltey dekhey humney dard key saaye,
Jashn bananey waley ki aankh mey humney jhaankh kar dekha

Sab ko paaya humney maahir yahan apna gum chupaney mey,
Ab apna gum kam lagney laga hai zamaaney mey....


Apney ashkon key sath khoon-e-jigar peetey dekha yahan logo ko,
zindagi ko roz ek naye sirey key saath jeetey dekha yahan logo ko...
Apney jeevan mey roz ek nayi subaah ki talaash kartey hue,
Aur apney kadmon key taley har roz naye aakash kartey hue...

Ek deepak ki tarah roshni bikhertey hue har viraaney mey,
Ab apna gum kam lagney laga hai zamaaney mey....

Read more...

Raat Ka Deepak 2

>> Friday, January 23, 2009

Ek deepak ko dekha kal raat bhar jaltey hue...
Apni tanhai main bhi roshni sey bhartey hue....

Suni si diwaar ko ek tak taaktey hue,
Kisi ki tasveer key peechey chup kar rotey hue....
Aansu barsaatey hue, kabhi tez to kabhi dhimey dhimey....
Aur chupatey hue woh kaley nishaan dil key,
apney aap ko khud hi jalaatey hue....

Woh uska bethna khud andherey main,
aur palken jhapkna neem andherey main...
Kai rangon mein dhalna uska...
kisi key barey main sochtey hue....
timtimatey hue aur luplapatey hue....

Woh roshan raha raat bhar sirf intezaar mey Mehboob-e-seher ki....
Aur seher key aatey hi shaant sa ho gaya....
Ek nazar mehboob ki miltey hi woh sada key liye so gaya.....

Read more...

Kaise Jeete hai Unke Bagair

Haal apney dil ka is tarah sey bata gaya koi...
Aaina zamaney ka mujhko dikha gaya koi....

Woh shaksh jo hasta tha, deta tha hosla sabko,
Khud to roya aur mujhko bhi rula gaya koi....

Kehney laga muhabbat kya hai koi seekhey humsey,
Hum ko to pehli hi nazar mey bha gaya koi....

Khol kar rakh di samney usney apni zindagi ki kitaab,
jismey har lafz aansu bhara tha padha gaya koi....

Jo poocha humney kyon jaagtey rahey saari raat tum,
bola ki humko to umr bhar key liye jaga gaya koi....

Kaisey jiya jaata hai bhala bolo to sanam key begair,
Andherey mey chupchaap sey ek deep jala gaya koi....

Read more...

Raat Ka Deepak

Raat key andhere main, jab koi sath na raha,
Dekhti rahi, us "deep" ko, jo mere sath jalta raha....
janey kab, kis tarah sey,
phir purani yadoon key kaley gherey mey,
janey kaisey, main ulajhti gayi soch key dayare mey!
Pehley milan, phir judaai, kya isi ka naam hai zindagi?
yeh dheerey dheerey dil ka rona..,
kya isi ko kehtey hai dardgi?
Ehsaas nahin kab tak main bus uhi,
zindagi ko aajmati rahi..
dur jaaney ki kosish main, unkey karib aati rahi!
hosh aaya tab humey jab, diwarey uthi is duniya ki,
pyar ki kasmey dagmaga gayi, jab kasmey lagi is duniya ki!
inhi khyalon main janey kitni neendey meri kho gayi..
aaya khyal jab mujhey to aankhey num ho gayi..
jis "deep" ko sathi maan, neend udaai thi naino ki..
woh "deep" mere sath jaagtey hue, janey kab ka so gaya tha....

Read more...

Khoob Hai Hunar

Dil todd dene ka khoob laga humein hunar unka...
Hamare ek aansoo se bhar aata tha kabhie jigar jinka...
Kisi ki manzil ban gaye woh humsey bewafa ho kar,
Rasta dekha karti thii sada hamari nazar jinka...

Read more...

Patthar Bhi Raakh Hua


Tujhsey juda hokar lagta hai aaisey,
Rooth gaya ho mera muqaddar kahin....
Dard is dil ko diya tuney itnaa ki,
Jala key raakh kare jo patthar ko bhi.....

Read more...

Dard Mein Bhi Labb siye hai


Julm tujhpar nahin humney khud par kiya hai.....
Ek dil tha paas humarey, woh bhi tujhko diya hai....
Ab tak baaki hai dil mey nishaan-e-khajar humarey,
Dard bhi hai phir bhi humney lab ko siya hai....

Read more...

Apna Dil Bachaaiye

Jis sey milti hai humko har waqt ek nayi aas jeeney ki,
Woh shaksh hi niklta hai kabhi kabhi katil apna....
Dekho jaan ley li humney teri apni baaton sey hi...
Ab bacha sako to bacha lo tum humsey yeh dil apna....

Read more...

Ab toh aa jaaiye

Terey khayal key aagey kuch soojhta nahin hai...
Aainey mey bhi aks nazar aata hai tera...
Din raat sajda kartey hai hum teri yaad ka...
Ab to aa jaiye dum nikalta jaata hai mera....

Read more...

Harr Saans Ginte Hai

Yun unkii yaadon main hum gum ho jaatey hai,
Kabhie rotey hai, to kabhi hum muskatey hai...

Unkey cherey ki ek jhalak paaney kay wastey,
duniya sey hum to apni nazarein bachatey hai...

kab hoga yeh intezaar khatam ab sabr nahin hota,
Har ek sanns apni hum dekho gintey jaatey hai..

Read more...

Chhotti Si Kahaani

Phir yaad aaya mujhey woh satanaa tera,
mera rooth jaana aur phir woh manana tera....
Mera karna Intezaar tera bhari dopahar mey,
Na mil sakney ka wohi jhoota bahana tera....

Ek chhotti si kahani ka shuru hona aur phir khatm hona,
Ek nagmey ka hothon par aana aur phir bhool jaana,
Tera aana mere jeevan key sunepan mey saawan ki tarah,
Aur phir patjhad ki tarah mera wajood hi ley jaana,

Bus itna hi tha kya mere jeevan mey fasanaa tera,
hath phir aaya merey wohi intezaar purana tera.....

Read more...

Teri Nazar Ka Akhiri Hausla

Lo chodh chaley sath, merey aansu merey naino ka....
Shayad inko bhi merey dil ka sahara mil gaya....
jatey jatey woh teri nazar ka meri nazar ko dekhna...
shukr khuda ka meri bebasi ko hosla mil gaya....

Read more...

Beete hua Waqt

Ek aks ban gaye ho tum,
jo dil sey nikalta hi nahi,
yaadon key kadmon pey chaltey,
ley jaatey ho tum mujhe wahan,
khodti hu main mitti mey khoye hue naam,
kuch reth key mehal jo banaye they humney,
shayad dubey hai yahin kahin....
ya samunder samay ka nigal gaya hai unhey...??

woh waqt jo beet chuka hai,
kyon dil mey ek dard chod gaya...
ab bhedta hai mujhey teer teri nazaron ka...
woh nazar jis par mera ab haq nahi...
jo udhti nahi thi merey chehrey sey,
aur ab jhuk jaati hai merey naam sey bhi.....

Read more...

Beete hua Waqt

Ek aks ban gaye ho tum,
jo dil sey nikalta hi nahi,
yaadon key kadmon pey chaltey,
ley jaatey ho tum mujhe wahan,
khodti hu main mitti mey khoye hue naam,
kuch reth key mehal jo banaye they humney,
shayad dubey hai yahin kahin....
ya samunder samay ka nigal gaya hai unhey...??

woh waqt jo beet chuka hai,
kyon dil mey ek dard chod gaya...
ab bhedta hai mujhey teer teri nazaron ka...
woh nazar jis par mera ab haq nahi...
jo udhti nahi thi merey chehrey sey,
aur ab jhuk jaati hai merey naam sey bhi.....

Read more...

Puraana Intezaar

Aaj ki raat, kal ki raat sey kuch juda to nahin,
main bhi wohi hu, meri soch wohi, wohi shayari meri,
aur yeh kalam bhi wohi....
phir kyon naa kal yeh khayal aaya ki,
ghazal tere tasavuur bina kuch bhi nahin,
dard nahin jo ismey to yeh dava bhi nahin.
Tanhai hai ismey, mehfil ki shanasai nahin,
saaj hai ismey magar goonj-e-sehnai nahin.....
Merey chanda, teri chaandni key paas
kuch lafaj hai tute hue,
jo jud gaye yeh to samjoh hal-e-dil bayan hua...
Kismat main meri wohi Intezaar purana likha shayad,
jo mil jao tum to samjhen gey ki kuch naya hua......

Read more...

Zindagi Cheen Le Daulat Apni

bhulna chahtey hai sab, naa ab koi "humara" chahiye,
mujhey e tanhai, bus ek tera sahara chahiye


Toh.....



zindagi cheen ley, bakshi hui daulat apni,
tuney ashkon key siwa diya bhi kya hai...

ta-umr na mila woh humey jiska intzaar tha,
khwab uskey baney jeevan, jis par aitbar tha
naa karaar hi mila tujhsey, naa pyar hi mila tujhsey
tujhsey chahat hai mujhey bas itni ab to.....
zindagi cheen ley bakshi hui khusiyaa apni,
tuney khwabon key siwa diya bhi kya hai...

jab ungliya uthi mujh pe sari duniya ki,
jab bijliyaa giri mujh pe sari duniya ki,
woh dur raha mujhsey zindagi bhar,
aur main dur rahi ussey zindagi bhar,
kya faida teri di hui aaisi shhorat ka....
zindagi cheen ley bakshi hui shhorat apni,
tuney badnaami key siwa diya bhi kya hai...

tadap key reh gaye woh lafj meri juba key,
tuney jab dekha mujhey anjani nazar sey,
khamosh kar di humney apne dil ki dhadkane,
aur chuppi laga di humney apni sanso pey...
ab kya kare hum tere sazo geeton ka,
zindagi cheen ley bakshi hui aawaz apni,
tuney khamoshi key siwa diya bhi kya hai....

Read more...

Pyaar ki Gehraaiyaan

Main door jaroor hu aaj tujhsey,
magar teri parchaiyyaan to hain,
najdikiyaan nahin hai jo pyar ki to kya,
dil main tere pyar ki gheraiiyaan to hai

Read more...

Toot Gayi Sapno Ki Paalki

Hum Roye hai raat bhar jinkey khayal main,
unko khabar nahin hai mere dil key haal ki.....
jamaney ki rawayato ney todey woh bandhan sarey,
jinko sameta tha kabhi ek dori main pyar ki....
bikhar gaye phool sarey khawabon key sehron key,
toot kar gir gayi hai merey sapno ki palki....

Read more...

Zindagi Majhdhaar Hai

Aaisi bhi kya baat hai ki saath koi deta nahin hai,
Zindagi ek manjhdhaar hai, jiska koi sahil nahin hai....
yeh bhatkta tha yuhi din raat kisi ki talaash mey,
Is navik ki aankhon mey bachi ab koi aas nahin hai....

Read more...

Main toh ek khwaab hoon

main to ek khwab hu... merey liye lad kar kya payaogey tum,
main gumon key jaal main rehti hu.... kareeb aaogey to ulajh jaogey tum...

tum to apney ho, tumhey naa koi takleef ho kabhi na musibat aaye koi,
yeh sach hai, sach kehtey hai, jo manogey yeh kaha to sawar jaogey tum...

us saagar main hai hum doob rahey, jis sey koi paar na utar paaya,
kaisey haath thamaye tumhey darr hai, sath humare hi bhatak jaogey tum...

main to koi khuda nahin, ek tasveer hu, kuch miti hui kuch dhudhli si,
humkalam hu isliye kehti hu tumsey, kosish karogey to bhool jaogey tum..

Read more...

Aa Hans ke Marr Jaaye

tum apney dil main intezaar ko kabhi bhi kum na honey dena,
yeh shama jo roshan hai muhabbat sey roshan hi rehney dena.
hanstey huey maut ko galey lagana isi ko kehtey hai shayad,
martey hue bhi naam apney mehboob ka letey rehna....

Read more...

Dil Hi Todd Jaate Hai

log baatey kartey hai khoob badi badi, lekin phir sath chod jaatey hai...
kehtey hai ki duniya ki har rasm todegey, lekin dil hi tod jaatey hai...
humey bhi intezaar hai uska jo milwa dey mazil-e-sahil sey humey,
shayad hum mey hi kami hai koi, ki sab bhatakta hua chod jaatey hai....

Read more...

Dil-e-Naavik!!!

Teri yaad-e-patwar ka sahara,
is dil-e-navik ko, de raha hai hosla jeeney key wastey,
Door nikal aaya hu main,
phir kinaro sey, ishq-e-samunder main nahin mil rahey rastey...
leel naa jaye mujhey kahin,
yeh gehra samunder,
thaam lo hath mera khuda key waastey........

Read more...

Lehron ka Uffaan!!

Lehren uffanti hai ek baar tufaa ki tarah,
aur phir shaant bhi ho jaati hai,
zindagi mein lagte hai kai mele
aur phir ekaant main so jaati hai..
muhabbat ke samundar main humney doob key dekh liya,
yeh bhatakti kashti bina navik key,
teri bewaafai ki dastan sunaati hai

Read more...

Kya Rakha Takraar Mein!!!

hum bhatke hai manzil sey, sirf apkey pyaar main..
ab to kareeb aa jaaiye, kya rakha hai takraar main
chup ho kyon tum, kuch to baat kijiye apne dil ki..
woh mazaa kaha inkaar main jo hota hai ikraar main....

Read more...

Shakshiyat!!!

Kho chuki hai shakshiyat pyar ki rahoon mey,
Gumraah jaroor hai, magar gumnaam nahi hai..
Hai kissey meri muhobbat key abhi mehfil mey,
Saaki hath main hai, magar ab jaam nahi hai...

Read more...

Bhatka Hua Navik!!!

Poocha kinare ney badhawaas bhagti lehar sey,
bolo sakhi kiska sandesh layi ho......
boli lehar, bhar aankhon main moti,
jadvat khadey e' kinare,
khojtey hue koi tujhey, phir samundar main kho gaya hai....
kya phir kahogey tum usey, "Bhatka hua navik" koi,
jo tujhey paney ki chahat main zindagi sey hath dho gaya hai....??

Read more...

Sanam Bewafa!!!

Meri Zindagii ki jab kabhi shaam hogi,
Woh aakhiri shaam bhi tere naam hogi...

Dil bachaye rakhna apna hifaazat sey,
Muhabbat us roz naa apni nakaam hogi...

Mit jayenge faasle sab darmiyaan humare,
Har ek wehshat duniyaa ki tamaam hogi...

Bewafa hum ko kehte rahe Tum Sanam lekin,
Ek baar thartharaaii zaroor terii zubaan hogi..

Read more...

Sanam teri bewafaii ka ab humko malal nahin,
Zinda rehney ka bhi is haal mey koi sawaal nahin...
Ek raat ka kaufnaak chehra dekh liye humney,
Kisi khushnuma raat ka ab humko koi intezaar nahin...

Read more...

Ab apney haal ki hum duaa kya karey,
Koi kehta hai humey bewaffa to kya karey....

Badnaam jo huey unki muhabbat mey to kya hua,
Ek naam aur humara jo hua to kya hua....
Uski ab hum koi shikayat karey to kya karey.....

Woh Muskuratey rahey jo mera haal dekh kar,
Hum bhi gungunatey rahey unko behaal dekh kar
Ab aur koi geet hum unkey naam kya karey.....

Pehchaan meri kho gayi hai unki galiyon mey,
Raunak chali gayi hai ab in tazaa kaliyon sey,
Naam unkey hum koi ab gulistaan kya karey....

Kismat ko dosh dengey to kya payengey hum,
Khud apni hi uljhano mey aur ulajh jayengey hum,
In uljhano sey nikalney ka samadhaan kya karey....

Apney dil ka haal kisi sey kaha bhi to nahin jaata,
Lekin ab yeh dard humsey aur saha bhi to nahin jaata,
Dard bhool jaye hum kuch pal key liye aisa kaam kya karey....

Woh to humey dekhey begar chala gaya is mehfil sey,
Muskurahat thi hoton par Shikan to rahi is dil mey..
Wafaa ki ummed ab hum ussey karey to kya karey....

Read more...

Ho gaya hai jeena mushkil ab humara yahan,
Khwaishein dil mey kuch aaisi palney lagi hai....

Humsey wafa ki umeed ab naa kiya kijiye aap,
Hawa bewafaii ki jahan mey chalney lagi hai....

Jaaney yeh kis diljaley ka dil hai jo jal gaya,
Aag saarey shaher mein kaisi lagney lagi hai...

Toot kar kai baar bikharey terey rawaiye sey hum,
Aah ke sang Jaan bhi ab nikalney lagi hai.....

Read more...

Dekh kar meri bebasi ko sub muskuraney lagey,
Jo They Apne Mere Sab Mujhse Daman Bachaane Lagey.....

Ek fakat khawaish ki humney unki chahat ki unsey,
uljhi uljhi baton sey woh humko bhi uljhaney lagey.....

Pathar dil humko duniya kehti hai jo to kya karey,
hum unkey liye is pathar ko mo'um bananey lagey....

Dil ko ek khilona jaana aur to'd diya usney is tarah,
Is tootey huey khiloney sey phir dil apna behlaney lagey....

Read more...

Hunar bewafaii ka unko kuch is tarah bhaaney lagaa,
Dil muhabaat key naam sey bhi ghabaraaney lagaa...

Kaash ki woh aa jaatey, theher jaatey dil mey kahin,
Aur Hum chuppa letey unko apni dhadkan mey kahin...
Aakar chaley jaana unka, Dil ko merey dhukhaney lagaa....

Bewafa huey woh to nazar ko hum bhi jhuka kar bethey,
Hum unkey pehlu sey nikal kar duniya ki nazar aa bethey,
Har shaksh duniya ka hum pey unglii apni uthhaney lagaa...

Roka bahut unhey kaha ki humey bus ruswaaiya milengi,
Yeh duniya merey zazbat-e-muhabbat pey din raat hasegi...
Phir bhi bhari mehfil mey woh kissa mera sunaney lagaa....

Hunar bewafaii ka unko kuch is tarah bhaaney lagaa
Mujhey dard mey dekh woh jashn yu mananey lagaa....
Haal par apney hum to ro bhi naa sakey magar,
Dil Muhabbat key naam sey bhi ab ghabraney lagaa...

Read more...

Koi Baat Kya Kahein!!

Ab tumsey hum apney dil ki koi baat kya kahein,
Ashkon bhari kati kyon woh raat kya kahein....
Chupchaap sey suni jisney apney katal ki dastan,
hum to woh pathar ki ek majboor deewar ho gaye...
Muhabbat sey toot kar aaisey bikhar gaye hum,
Chehra chupa kar hathon sey jaar jaar ho gaye....

Samet li humney ruswai unki apney aanchal mey,
Khud apni hi nazron mey hum daagdaar ho gaye....
Sub kuch luta diya humney pyar ki guzarish mey,
Duniya yeh kehti hai ki hum gunaahgaar ho gaye...

Jo kadar naa kar saka merey zakhmo ki ta-umr,
kaisey hum unkey pairon ki jhankaar ho gaye....
Kiston mey maut payii humney jinki chahat mey,
Unkey liye hi hum fakat ek majaar ho gaye....

Woh kehtey they ki hansi mey teri phool khiltey hai kai,
Nazaron mey unki ab hum jaati hui bahaar ho gaye...
Koi naa aana is raah mey ishq ki thokarey hai bahut,
Hum bhi ek baar guzar kar yahan khabardaar ho gaye....

Likha jo humney kuch bhi to aansu nazar aaye,
Hum khud apney kalaam sey sharmshaar ho gaye...
Chand lafz hi byaan kardey jiskey dard key manzar ko,
Dekho humey ab hum bhi woh fankaar ho gaye....

Ab tumsey hum dil ki koi baat kya kahein,
Tanha sard raaton key kyon haqdaar ho gaye...

Read more...

Jidhar bhi dekhti hu main, uska chehra nazar aata hai,
Mujey apni manzilon sey juda uska rasta nazar aata hai,

Soch kar pareshaan si ho jaati hu main bewafaii uski,
Phir bhi woh dil ki geheraiyon mey utarta nazar aata hai...

Dil ki baat hum apney dil mey hi daba detey hai aksar,
Humey apney dil mey shikvon ka kafilaa nazar aata hai...

Khwab toot jaatey hai bewafaii sey muhabbat key doston,
Do ghadi baat karey koi to jeeney ka hosla nazar aata hai...

Read more...

Uski yaad jab bhi chupkey sey mere jehan main aati hai,
meri kalam khud-b-khud dard ki shyahi main doob jaati hai..
Hum daal detey hai ashko ki chand boondey is shyahi mey,
meri muhabbat adhuri kavita si kagaz pey bikhar jaati hai....

Read more...

Kyon bewafaii ki baat kartey ho tum,
Kyon baar baar dil dukhatey ho apna,
Yeh duniya sach sun nahin sakti hai,
Isey kyon dard sunaatey ho apna....

Kaat detey hai jubaa, kalam kartey hai sar,
Muhabbat main kyon sar udhattey ho apna
Yeh lehar to baar baar mud key aayegi,
kyon sahilon par ghar basatey ho apna....

Read more...

Bharosa apni mohabbat main yuhi sada banaye rakhna,
Pehlu main apney tum sanam ka dil basaye rakhna....
bewafa na ho jaana bhula kar apni muhabbat ki dastan,
bana kar isey ibadat-e-khuda duniya sey chuppaye rakhna....

Read more...

tum hum-jaisey naa ban jaana, bus itni gujarish hai...
apney pyar ka sar naa jukwana, bus itni gujarish hai....
bewafaai naa karna kabhi kisi sey, na todna dil kisi ka,
wafa key liye beshak marr jana, bus itni gujarish hai...

Read more...

E Mohabbat, tere naam sey nafrat kar bhi nahi saktey,
Aisey jeetey hai hum aaj kal ki mar bhi nahi saktey...
Koshish ki lakh humney sambhalney ki apney dil ko,
itney bikhar chukey hai ishq main ki sawur bhi nahi saktey...

Read more...

yaad aata hai tu mujhey din-raat abhi bhi,
phir kyon hai yeh duri mujhsey..
naino main aansu nahin, arey yeh to moti hai,
aankhon main basi hai yaar teri surat....
wapas aaja e sanam, na kar bewafaii mujhsey,
merey dil ko mehsuus hoti hai,
abhi bhi tere didaar ki jarurat...

Read more...

yu hastey hastey roney ki kala tune hi sikhlayi hai,
humney apni neend teri yaadon main udavaii hai..
e sanam khush rahey tu sada, chahey mujhsey door sahi,
dil to de hi chukey they, ab teri ulfat main jaa bhi gavaii hai.....

Read more...

yeh teri bewafaii ka sila, sanam hum hus-hus kar sahengey,
kabhi tu bhi chahta tha humey dil se, hum yeh na kahengey...
e kaash yeh dil ki majboori na hoti, naa hoti meri muhabaat kamosh,
chalo jo hua so hua ab hai yeh kasam, ki hum chup rahengey

Read more...

kaisey shaamil karey hum tumhey apney aansu main aur gum main,
woh baat hum main nahin jo tum dhoondhtey ho apney sanam main,
hum sey wafa ki umeed naa kijiye, hum to khud chot khaye hue hai..
phir bhi intezaar karogey to shayad mil jayegey agley janam main..

Read more...

Dil yeh jis par tha fida,
Woh naa kar saka humse wafa,
D ke woh humko hi daga,
Jooth kehta hai ki tu hai dilruba,
Hum kaise ab yeh maan lein,
Hum kaise usko pehchaan lein,
Kya ab yehi hum bas jaan lein?
Woh nahi hai hamara.... kya yehi hai sach?
Ab kaisey kahein usey humsafar?
joh muuh humse moud gaya,
Yun akela raah main chod gaya.....
Fakat dil main baaki tees hai,
Usne kiya nahin yeh theek hai.....
Jo hua hai, woh bahut galat hua......
Aakhir Woh itna kaise badal gaya?

Read more...

Beeti Raat...

Zindagi kyon humein uss raah par le jaa rahi hai,
Woh raah jahan beeti raat ki khushboo aati hai,
Yeh doraaha yun apney sang humein kaat raha hai,
Dil ek aor jaata hai aur Jaan doosri aor jaati hai......

Read more...

kyon dil todtey hai log, kyon mita dete hai pyar ki nishaaniya..
kyon rulatey hai kisi ko, kyon detey hai kisi ko ruswaiyaa...
yeh such hai duniya main, har cheez ka ek waqt hota hai,
mit jaata hai har zakhm ek din, har ghav bhi bhar jaata hai..
lekin nahin mitt.ti is dil sey pehley pyar ki purchaiiyaa....






|

Read more...

EK MULAKAT BHI HOGI, AUR PHIR BAAT BHI HOGI,
SADA GHIRI REHTI HAI TANHAIYO SEY,
KABHI TO KHUSHNUMA YEH RAAT BHI HOGI...
AAJ RONEY DO GHADI BHAR MUJHEY APNEY LIYE,
KAL TUMHAREY LIYE HANSI KI SAUGAAT BHI HOGI...

Read more...

Tanhai aadat hai hamari, yeh yaadein saathi hai..
jab tum nahin hoty ho paas, tab yehi to aati hai..
tum to aatey ho do ghadi ko, aur chaley jatey ho,
dil rota hai jab mera, yeh hi usey behlaati hai...

Read more...

usney muh pher liya dekh kar mera aana jaana apni galiyon mein.....
nazren chura li aisey, ki daag lage na kahin sehre ki kaliyon mein

Read more...

Umeed-e-wafa ko yu seeney sey lagaye rakha,
Chirag-e'-pyar ko humney ta-umar jalaye rakha,
mehsoos to hui unhey humari aakhon main nami,
hastey hue hamney magar nazron ko jukaye rakha.

Read more...

Kyon woh sard shyah raat yaad aati hai,
Kyon phir sey dil ko bechain kar jaati hai...
Har taraf pasra hua hai gehra sannata sa,
Koi cheekh mere kaano mey goonj jaati hai...
Dard sey bhari kisi ki siskan ghuti ghuti,
Har kisi aahat sey rooh kaamp jaati hai...
Phir sey rounda jai naa kahin mujhko,
Raat kyon yeh baar baar chali aati hai...
Jeeney ki aas ab bhi baaki hai ismey,
Ek bulbul pinjarey mey phadphadati hai...

Read more...

Raaton sey darr lagta hai
Andhero sey jee ghabrata hai
Hum saans rok key baithey hai
phir bhi dil dhadak jaata hai....

Koi naa aaye aaj ki raat,
hum yeh dua kartey hai..
Beeti raat si koi aur raat na ho,
dil sukhey pattey sa kapkapata hai...

Read more...

Blogger templates made by AllBlogTools.com

Back to TOP