Jeene Ki Chah
>> Sunday, February 1, 2009
Dil mera, teri yaadon ko sametey huey,
Raat ki baahon mey,
Aankh band karta hai jab ho’ley ho’ley,
Phir sey pukaarta hai tumhey…
Inhi viraano mey, dil key galiyaron mey….
Aaj phir isney ek khwab dekha,
Khwab mey phir tera chehra dekha…
Ghabra key aankh jab khul gayi to…
Aankh khultey hi teri aawaaz sunaii di mujhko…
Phir saath saath rahey tum yaadon mey meri,
Jab tak ki palken bhojal naa ho gayi…
Aur jaisey hi palkon ney band hona chaha,
Phir goonji teri aawaaz merey kaano mey kahin…
Tum chup-chaap sey merey khwabon mey
Chaley aatey ho…
Mein tasveer teri jo takiye key neechey chuppa deti hoon,
Tum phir sey us tasveer ko merey dil mey basa detey ho…
Nahin fark padta tha mujhey,
Jo tum mil nahin sakey mujhey...
Meri umeedon mey, merey sapno mey,
Toh tum roz miltey they mujhey….
Kal tak chuppa hua ek raaz tha yeh,
Magar ab aur nahin chuppaya jaata,
Dil mey apney ab mujhsey bhi,
Yeh dard nahin basaaya jaata….
Aaj kehti hu ki mainey sapno ko toot tey dekha hai,
Apni zindagi ko khud viraan hotey dekha hai…
Bichaddtey dekha hai mainey apno ko apno sey hi,
Khud ko kai baar khud hi martey dekha hai…
Tum bhi bhula do mujhey ab,
aur mein bhi bhool jaana chahti hu,
Ek baar haan aakhiri baar hi sahi,
Tere ishq-o-muhabbat se guzar kar,
Mein bhi jeena chahti hu….
0 comments:
Post a Comment