विदाई ले कर सुबह से

>> Wednesday, February 4, 2009

विदाई ले कर सुबह से, शाम ढलती ही रही,
और बहुत रोई अंधेरों से लग लग कर गले..

चुनते रहे ख्वाबों को अपनी बंद पलकों पर,
फिर टूटते भी देखा उन्हे जब कभी पलकें खुले..

सुनाई देती रही सिसकियाँ दिल के भीतर में,
आह निकल ना पायी, बैठे रहे लबों को सिले..

कपकँपाते हुए हाथों को थाम लीजिएगा,
कट जाए सफ़र शायद.. 'गर किसी का साथ मिले..
------------------------------------------------
Vidaai Le Kar Subah Se


Vidaai le kar subah se, shaam dhalti hi rahi,
Aur bahut royi andheron se lag lag kar gale..

Chunte rahe khwaabon ko apni band palkon par,
Phir Toot.te bhi dekha unhe jab kabhi palkein khule..

Sunaai deti rahi siskiyaan dil ke bheeter mein,
Aah nikal naa paayi, baithe rahe labon ko sile..

Kamkampaate hue haanthon ko thaam lijiyega,
Kat jaaye safar shayad.. 'gar kisi ka saath mile..

5 comments:

TinTin February 8, 2009 at 12:14 PM  

aapki diary ke panno mein bohot marm sparshi kavitayein hai..
tarah tarah ke rang chupe hai
pad kar acha laga..

bohot khoob!

thnks to brown phantom blog for directing me here..

aapki purani kavitayein padne ke liye samaya samaya par aana padega..

keep writing such excellent posts.. hats off!

Shikha .. ( शिखा... ) February 9, 2009 at 11:38 PM  

@ TinTin Ji..

Sabse pehle aapka bahut bahut shukriya, itne itminaan se aapne meri diary ko waqt diya.. Aapke comments mein bahut apnapan sa laga.. :)
Mujhse khushi hogi, agar aapke apnepan se bhare comments milte raheinge.. :)

Sanjay Grover February 13, 2009 at 1:29 AM  

******
######
&&&&&&
$$$$$$
++++++
^^^^^^
@@@@@@
~~~~~~
!!!!!!
KAISI LAGI MERI GHAZAL !?

Shikha .. ( शिखा... ) February 17, 2009 at 12:46 AM  

@ Sanjaygrover Ji..:

Aapka Tanz samajh aa gaya, is se badh kar kya baat hogi.. Sachhai ke liye Shukriyaa..

Waise, aapki gazal achhi hai, hum bhi koshish kareinge is se kuch seekhne ki.. :)

Shikha .. ( शिखा... ) September 25, 2009 at 2:04 AM  

शिखाजी, अभी-अभी मैं गूगल सर्च में अपना नाम डालकर किसी अन्य वजह से सर्च कर रहा था कि यहां आ पहुंचा। मुझे नहीं याद कि कभी आपके साथ मेरा ऐसा कोई विवाद या झगड़ा हुआ हो कि मैं आप पर तंज़ करुं। मज़ाक की नयी शैली ढूंढते रहने की मेरी आदत की वजह से यह हुआ है। आप भी अपनी जगह सही हैं। मैं आप जैसे लोगों का दिल दुखाना और वो भी बिना किसी वजह के दुखाना, बिलकुल नहीं चाहता। मैं इसके लिए क्षमाप्रार्थी हूं। कृपया संभव हो तो मुझे माफ करें।

Blogger templates made by AllBlogTools.com

Back to TOP