Uski Baatein...

>> Monday, January 26, 2009

Uski baatain sunn kar mujh ko, waqt laga kuch thera saa,
lekin un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa....

main bhi hath tham leti uska, lekin sanson per hai phera saa,
jo bhi ho un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa...

raat mila woh sapno main, kuch paresha, kuch hairan saa,
keh key gaya wo aaisi baatain, jinmein pyar chuppa tha ghera saa...

phool khil gaye is jeevan main, pehley tha jo viraan saa...
aaisi meethi baatein thi woh, jinmein pyar chuppa tha ghera saa....

Read more...

Yun Hausla Dete Hai Log

Hum ko kuch is tarah se muhabbat mein hausla detey hai log...
Ajeeb sey rawwaiye se maathey pey shikan laa detey hai log....

Jab kehte hai waqt nahin chalta aage muhabbat ke begair,
Humko humara hi chehra aainey mein dikha detey hai log....

Jo poochetey hai hum unse ki kaisa hota hai ishq ka samaa,
Andheri tanhaa raaton meiy le jaa ke bitha detey hai log....

Kahin par toh khatam hogi yeh wehshat naseebon mein se,
Haathon ki rekhaaiye hamaari humko padha detey hai log....

Read more...

Gehra Rang Mitaayein Kaise

Rang gehra hai, hum isey ab mitaye kaisey,
Phir sey duniya key rang mey rang jaye kaisey....

Humney khud ko hi di hai saja-e-maut doston,
Ab khud apni baat sey hi palat jaye kaisey...

Yeh dard, yeh aansu yeh sab unki amanat hai,
Inhey hum apni palkon par bikhraye kaisey...

Woh galey miley begear chale jaatey hai yuhi,
Hum unko apney kareeb ab ley aate kaisey...

Aah jo li humney to angarey miley zubaa par,
Ab dil ki baat hum phir zubaa par laye kaisey...

Apney hathon hi likhi ho jisney kismat mey tanhaii,
Apney hi khooni likhavat ko hum ab mitaye kaisey...

Ek kaaley shayah mod par aakar tham gayi hai zindagi,
Is zindagi ko hum ujaley ki aur ab laye kaisey....

Read more...

Darr hai Bas Yeh

Aankh se jo bahe aansu toh, Yeh duniya badnaam karegi..
Nakaami aur Zillat ko yeh, Phir sey hamare naam karegi...

Haath badhaaya humne kabhi jo, Is ka sahara paaney ko,
Huss kar sare-bazaar mein, Yeh izaat bhi nilaam karegi...

Haathon se chehra chupa ke, Chup baithe hai mehfil mein,
Koi jo aa kar baat karega, Phir jeene ki umeed jagegi...

Sach hai yeh ki chalney se hi, toh chalti hai yeh zindagaani,
Lekin hum ko darr hai bus ye, Hum par hi koi chaal chalegi....

Read more...

Marusthal Sa Jeevan Mera

Marusthal sa jeevan mera, Raigistan sa lagta hai mann,
Ek band darwaza hai yahan,
Baaki sub kuch khandar hai....

Baar baar yeh kehti hoon, khud mein hi main rehti hoon,
Aankhon main kuch sapney hain,
Lekin dil to apna banjar hai....

Darti hoon main raaton se, Sabhi ki meethi baaton se,
Baaton mein sabki teer chupe hai,
Aur hathon mein khajar hai....

Muhabbat ki basti ko, Har Roz ujadtey dekhti hoon,
Kaise hoslaa kare koi yahan par,
Dil ko dehlata harr manjar hai....

Read more...

Ashqon Ki Dukaan

Kaisey kahe tumhe hum yeh dastaan apni,
Nahin tum samajh naa paaoge yeh dastaan apni...

Humare kadmon sey lipat rakhey hai jo bhawar,
Kaisey chudha le unse ab hum yeh jaan apni...

Muhabbat ki baatein bhi toh humse ki nahi jaati,
Khud hi sil chuke hai shayad hum zubaan apni...

Yahan khushion ki chah karoge toh gum hi milenge,
Ashqon se sajaayi hai zindagi ki yeh dukaan apni...

Read more...

Tumhara Aks Ubhar Aaya

Jab Kabhi socha kareeb aane ko tere,
Jab Kabhi khoye tere khayaalon mein,
Apne dil se khoob lade bhi hum..
Apne hi dil se naaraaz rehne lage...

Jab kabhi sochi teri woh pyari baatein,
Tera pyar jatlana aur dena dilaase,
Apney dil to tattola ghanto takk..
Aksar hi palkon ko bhigone lage...

Jab kabhi humein yaad aayi woh surat,
Aur woh teri aankhon ki kashish,
Tera hi aks ubhar kar aaya hardam,
Yaadon ko jab bhi sajone lage...

Read more...

Kaisi Aashiqui Teri

Kaisa hai yeh deewanapan, Hai kaisi aashiqui teri,
Tum kyon nahi samajhtey, Main nahi zindagi teri...

Duniya hai.. Dushman hai lakh muhabbat ke yaha,
Khud zakhmon ki maari, kya samjhegi dardgi teri...

Dil lagaane ki baatein kya, bematlab ka aana jaana,
Muhabbat hai ya zidd hai ye, ya phir aawaargi teri...

Read more...

Gunaahon Ki Moorti (Part 2)

Tanha hi ye rehti hai, na koi dekhe ise mudd ke bhi,
Reit se bani hui, reit se dhaki hui....
Ye moorti hai, reit ki, naa hil sake jo khud se bhi..
Naa keh sake ye dil ki baat, khud hi se uljhii hui.....

Sab ne bas ye soch liya, Yeh patthar hai ise tod diya,
Khela kabhi iske tukdon se, kabhi isko tanha chod diya...
Na kare shikaayat kisi ki ye, na muuh kholti hai ye,
Ye aankh ko moonde hue, hawa se bhi darri hui....

Ab na is se kismat jodna, naa is ka dil ab todna,
Bahut seh chuki jo guzar gaya, kahin keh uthhe na haar ke,
Pyaar mujhe bhi chaahiye, mujhko bhi jeena hai..
Kahin phir se naa jee uthe, yeh kabhi ki marri hui...

Read more...

Woh Sab Sapna Hai

Is duniya ke mele mein,
Yeh dard hi to apna hai,
Pyar ko dekha, aur khushi bhi,
Lekin woh sab sapna hai...

Saansein teri reh reh kar,
Aati hai mere lab chuunne,
Inse main kyon dil behla loon,
Honthon ko nahi tapna hai...

Ab naa dekho rooh ke ghaav,
Ab naa dekho zakhmo ko,
Tere dard se dard mila ke,
Naam khudaa sa japna hai...


Read more...

Mere Haath Sirf Parchaayi Hai

Phir wohi band kamra hai,
Phir wohi wehshipan hai,
Phir wohi khaamoshi hai,
Aur phir meri tanhaai hai...

Humne jo ro ro kar gujari thi,
Phir raat woh kaali aayi hai....
Phir se hua hai wo gairo ka,
Mere haath uski parchaayi hai....

Phir sey uski woh sab baatein,
Jis se sharm sharmaayi hai....
Phir se hue hai dil ke tukde,
Phir aankh meri dabdabaai hai....

Ab to de de maut khuda tu,
Kya yehi teri khudaaii hai...
Sisak sisak ke hi hai jeena,
Ye Kis baat ki sazaa sunaai hai...

Read more...

Gunaahon ki Moortii

Mere pairon mein janjeeren hai,
Haathon mein hathkadiyaa,
Main band padi hoon.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Siskiyaa hai, aansoo hai, dard hai yahan,
Bhaag nahin sakti hoon.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Bechain mann.. bhara hua uljhano se,
Suljha nahin sakti jinhe.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Yaad karte hue, woh ehsaas, jazbaat, wo pyar,
Aankh patthar ho gayi meri.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Woh toot kar chaahna tujhe, woh mera pehla gunaah,
Rok nahin paayi jisey main.. Gunaahon ki moorti si,
Ek andhere tanha kamre mein....

Read more...

Aas Abhi Baaki Hai

Rundhii Rundhii, Dabii Dabii si kahin,
Siskiyon ke beech mein phasi si kahin...
Dil mein woh Teri yaad ab bhi baaki hai...
Tujhse milne ki aas kahin baaki hai...
Woh Adhoori si fariyaad abhi baaki hai...

Read more...

Ab Nabz Khone Ko Hai

Ek raat bhi apne toh muqaddar mein nahin,
Shaam zindagii ki aakhirii hone ko hai...
Gumgeen sii ho chalii hai dhadkan iss dil ki,
Nabz bhi lagey jaise bus ab khone ko hai...

Read more...

Ye Kaisi Aajmaaish Hai

Benoor, Berang, Adhoori si,
Yeh kaisi khwaish hai…
Dil mey chayyii bekaraari si,
Yeh kaisi aajmaish hai…

Khamosh, Gumsum, Udaas si,
Shaam udaas si aayi hai…
Badle hue khayaalat hai magar,
Wohi puraani tanhaai hai...

Aawaara, banjaara, anjaana sa,
Yeh safar bhi saudaii hai,
Dil dein hum ya Jaan de dein,
Har haal mein ruswaaii hai…

Read more...

Yun Chup Naa Raho

Kuch baat karo humsey, yu chup naa raho,
Hum bhi ghuth rahey hai khud mein,
Kuch kahe sune bagair…

Waqt nahin paas tere shayad mere liye,
Phir bhi kiya tera hi intezaar humne,
Har Peher-dar-peher…

Le raha hai jaan yeh hamari har ghadi,
Kaat raha hai dheere dheere dil ko,
Tanhaaiyon ka ye zeher….

Read more...

Tanhaai Humse Muhabbat Nibhaati Hai..

Kyon reh reh kar yeh humarey paas hi chali aati hai,
Is tanhaai ko dekhiye, humse muhabbat nibhaati hai...
Yeh hi hoti hai paas, har subah ko har sham ko bhi,
Raat hotey hi aksar hamari sez par bhicch jaati hai....

Read more...

Itna Kaise Badal Gaya

Aaj phir raat hai thami meri,
aaj phir aankh main nami meri,
aaj phir hath chodh gaya koi,
Aaj phir dil koi toud gaya...

Le gaya hai woh kasam aaisi,
ki roungi nahin hargiz main judaai mein...
phir aansuon ko peena hi hoga apney,
Apna Gam naa kisi se bola gaya...

Masoon se dil par phir woh,
nashtar judaii kaa chala gaya,
main phir sey sochti hu aaj ki raat,
Ki Woh itna kaisey badal gaya.....

Read more...

Yaad

>> Saturday, January 24, 2009

humney bhi zakhm sahey hai dil par,
humney bhi lakh inhey chupaya...
jab bhi chupaya inhey apni hansi sey,
ankh ko humney apni num paya...
yeh such hai kanjar miltey hai zakhm pur,
jab bhi inhey teri yaad sey sehlaya...
bahut kosish ki humney tujhey bhulney ki,
phir bhi e bewafa tu humey roz yaad aaya...

Read more...

Phir Wohi Tanhaai

Kal raat mili andherey main khadi tanhaai mujhey,
lag gayi galey jaisey jaanti ho sadiyo sey mujhey....


Haan...


Yeh na socha tha ki phir tanha hongey hum,
par tere aaney key baad phir tanha ho gaya..........

Pyar ka jo humney gharonda sajaya tha,
sajatey hi lagta hai, jaisey bikhar gaya..
do lafj teri jubaa sey pyaar key,
suney hue lagta hai, jamana guzar gaya..

Puchha phool sey kyon murjha gaye ho tum,
bola dekho pyaar ka mausam badal gaya..
jisey dekh kar khilti thi aankhon ki kaliyan,
roz dhoondhti hai usey, ki kidhar gaya.....

Read more...

Jaate Ho Toh Suno

Jaana chahtey ho du’r to shauk sey jayiye…
Apney hathon sey hansti humari magar,
Mitaa kar jayiye….

Ek baar has kar to dekhiye Humey,
Naa Royiye khud, aur naa humey,
Rulaa kar jayiye….

Dil sey dua tumko hum detey hai Sanam,
Jara mud kar dekh lijiye,
Muskura kar jayiye….

Haath mey kuch nahin ek terey haath ke siwa…
Is kadar naa haath mujhsey,
Chudda kar jayiye….

Kaun ho tum, kaisey bus gaye meri tanhaaii mey,
Yeh nakaab jara chehrey sey,
Hata kar jayiye….

Tumhaari yaad reh gayii to kahan bhijwaun mein,
Apney ghar ka pata to humey jara,
Bata kar jayiye….

Saath apney tum lekar chal diye mera aasmaa,
Ab merey pairon taley ki zameen,
Naa lekar jayiye….

Thak gaya hai ab yeh roshni baat'tey baat'tey,
Raat bhar jala hai jo diya,
Bhujha kar jayiye…..

Read more...

Ankahi si baatein

Raat bhar jagtey rahey hum unko manatey rahey,
Dil mey ab bhi kuch baatein hai jo un-kahi baaki hai....

Khud ko gira diya humney apni hi nazar mey lekin,
Phir bhi Dil mey uskey abhi kuch berukhi baaki hai...

Rooth gaye hum khuda sey bhi ki kaisi zindagi hai yeh,
Gum hi hai ya ab bhi kuch ismey khushi baaki hai...

Kya Bhool chukey hai woh, Nazar mey hai kya ab bhi hum,
Kya ab bhi uskey dil mein wohi pehley si aashiqui baaki hai...

Humney kaha e maut aa kar ab tu hi laga ley galey mujhey,
Hus key boli woh ki nahin abhi teri zindagi baaki hai...

Read more...

Ek Deep Aankhon Mein

Ek deep aankhon mey jala kar raat bhar baithey,
Kuch khawab palkon par saja kar raat bhar baithey..

Woh hi lekar aaye khanjar mera dil cheerney ko,
hum jinki hifazaat mey raat bhar baithey...

Masal kar dil key phoolon ko woh khush hotey hai,
Rahon mey jinki khiyaaban ban kar raat bhar baithey....

Dehka kar chaley gaye merey ghar ko is tarah sey woh to,
Hum Deepak ban kar jinkey ghar mey raat bhar baithey....

Read more...

Apna Gam Kam Laga

Dard-o-Gum bhara nazar aata hai humko zamaane mey,
Ab apna gum kam lagney laga hai zamaaney mey....

Hanstey hue chehrey key peechey chupey hai maayusi key saaye,
hum ney jis bhi kisi chehrey key peechey jhaankh kar dekha...
Har khushi key saaye mey paltey dekhey humney dard key saaye,
Jashn bananey waley ki aankh mey humney jhaankh kar dekha

Sab ko paaya humney maahir yahan apna gum chupaney mey,
Ab apna gum kam lagney laga hai zamaaney mey....


Apney ashkon key sath khoon-e-jigar peetey dekha yahan logo ko,
zindagi ko roz ek naye sirey key saath jeetey dekha yahan logo ko...
Apney jeevan mey roz ek nayi subaah ki talaash kartey hue,
Aur apney kadmon key taley har roz naye aakash kartey hue...

Ek deepak ki tarah roshni bikhertey hue har viraaney mey,
Ab apna gum kam lagney laga hai zamaaney mey....

Read more...

Raat Ka Deepak 2

>> Friday, January 23, 2009

Ek deepak ko dekha kal raat bhar jaltey hue...
Apni tanhai main bhi roshni sey bhartey hue....

Suni si diwaar ko ek tak taaktey hue,
Kisi ki tasveer key peechey chup kar rotey hue....
Aansu barsaatey hue, kabhi tez to kabhi dhimey dhimey....
Aur chupatey hue woh kaley nishaan dil key,
apney aap ko khud hi jalaatey hue....

Woh uska bethna khud andherey main,
aur palken jhapkna neem andherey main...
Kai rangon mein dhalna uska...
kisi key barey main sochtey hue....
timtimatey hue aur luplapatey hue....

Woh roshan raha raat bhar sirf intezaar mey Mehboob-e-seher ki....
Aur seher key aatey hi shaant sa ho gaya....
Ek nazar mehboob ki miltey hi woh sada key liye so gaya.....

Read more...

Kaise Jeete hai Unke Bagair

Haal apney dil ka is tarah sey bata gaya koi...
Aaina zamaney ka mujhko dikha gaya koi....

Woh shaksh jo hasta tha, deta tha hosla sabko,
Khud to roya aur mujhko bhi rula gaya koi....

Kehney laga muhabbat kya hai koi seekhey humsey,
Hum ko to pehli hi nazar mey bha gaya koi....

Khol kar rakh di samney usney apni zindagi ki kitaab,
jismey har lafz aansu bhara tha padha gaya koi....

Jo poocha humney kyon jaagtey rahey saari raat tum,
bola ki humko to umr bhar key liye jaga gaya koi....

Kaisey jiya jaata hai bhala bolo to sanam key begair,
Andherey mey chupchaap sey ek deep jala gaya koi....

Read more...

Raat Ka Deepak

Raat key andhere main, jab koi sath na raha,
Dekhti rahi, us "deep" ko, jo mere sath jalta raha....
janey kab, kis tarah sey,
phir purani yadoon key kaley gherey mey,
janey kaisey, main ulajhti gayi soch key dayare mey!
Pehley milan, phir judaai, kya isi ka naam hai zindagi?
yeh dheerey dheerey dil ka rona..,
kya isi ko kehtey hai dardgi?
Ehsaas nahin kab tak main bus uhi,
zindagi ko aajmati rahi..
dur jaaney ki kosish main, unkey karib aati rahi!
hosh aaya tab humey jab, diwarey uthi is duniya ki,
pyar ki kasmey dagmaga gayi, jab kasmey lagi is duniya ki!
inhi khyalon main janey kitni neendey meri kho gayi..
aaya khyal jab mujhey to aankhey num ho gayi..
jis "deep" ko sathi maan, neend udaai thi naino ki..
woh "deep" mere sath jaagtey hue, janey kab ka so gaya tha....

Read more...

Khoob Hai Hunar

Dil todd dene ka khoob laga humein hunar unka...
Hamare ek aansoo se bhar aata tha kabhie jigar jinka...
Kisi ki manzil ban gaye woh humsey bewafa ho kar,
Rasta dekha karti thii sada hamari nazar jinka...

Read more...

Patthar Bhi Raakh Hua


Tujhsey juda hokar lagta hai aaisey,
Rooth gaya ho mera muqaddar kahin....
Dard is dil ko diya tuney itnaa ki,
Jala key raakh kare jo patthar ko bhi.....

Read more...

Dard Mein Bhi Labb siye hai


Julm tujhpar nahin humney khud par kiya hai.....
Ek dil tha paas humarey, woh bhi tujhko diya hai....
Ab tak baaki hai dil mey nishaan-e-khajar humarey,
Dard bhi hai phir bhi humney lab ko siya hai....

Read more...

Apna Dil Bachaaiye

Jis sey milti hai humko har waqt ek nayi aas jeeney ki,
Woh shaksh hi niklta hai kabhi kabhi katil apna....
Dekho jaan ley li humney teri apni baaton sey hi...
Ab bacha sako to bacha lo tum humsey yeh dil apna....

Read more...

Ab toh aa jaaiye

Terey khayal key aagey kuch soojhta nahin hai...
Aainey mey bhi aks nazar aata hai tera...
Din raat sajda kartey hai hum teri yaad ka...
Ab to aa jaiye dum nikalta jaata hai mera....

Read more...

Harr Saans Ginte Hai

Yun unkii yaadon main hum gum ho jaatey hai,
Kabhie rotey hai, to kabhi hum muskatey hai...

Unkey cherey ki ek jhalak paaney kay wastey,
duniya sey hum to apni nazarein bachatey hai...

kab hoga yeh intezaar khatam ab sabr nahin hota,
Har ek sanns apni hum dekho gintey jaatey hai..

Read more...

Chhotti Si Kahaani

Phir yaad aaya mujhey woh satanaa tera,
mera rooth jaana aur phir woh manana tera....
Mera karna Intezaar tera bhari dopahar mey,
Na mil sakney ka wohi jhoota bahana tera....

Ek chhotti si kahani ka shuru hona aur phir khatm hona,
Ek nagmey ka hothon par aana aur phir bhool jaana,
Tera aana mere jeevan key sunepan mey saawan ki tarah,
Aur phir patjhad ki tarah mera wajood hi ley jaana,

Bus itna hi tha kya mere jeevan mey fasanaa tera,
hath phir aaya merey wohi intezaar purana tera.....

Read more...

Teri Nazar Ka Akhiri Hausla

Lo chodh chaley sath, merey aansu merey naino ka....
Shayad inko bhi merey dil ka sahara mil gaya....
jatey jatey woh teri nazar ka meri nazar ko dekhna...
shukr khuda ka meri bebasi ko hosla mil gaya....

Read more...

Beete hua Waqt

Ek aks ban gaye ho tum,
jo dil sey nikalta hi nahi,
yaadon key kadmon pey chaltey,
ley jaatey ho tum mujhe wahan,
khodti hu main mitti mey khoye hue naam,
kuch reth key mehal jo banaye they humney,
shayad dubey hai yahin kahin....
ya samunder samay ka nigal gaya hai unhey...??

woh waqt jo beet chuka hai,
kyon dil mey ek dard chod gaya...
ab bhedta hai mujhey teer teri nazaron ka...
woh nazar jis par mera ab haq nahi...
jo udhti nahi thi merey chehrey sey,
aur ab jhuk jaati hai merey naam sey bhi.....

Read more...

Beete hua Waqt

Ek aks ban gaye ho tum,
jo dil sey nikalta hi nahi,
yaadon key kadmon pey chaltey,
ley jaatey ho tum mujhe wahan,
khodti hu main mitti mey khoye hue naam,
kuch reth key mehal jo banaye they humney,
shayad dubey hai yahin kahin....
ya samunder samay ka nigal gaya hai unhey...??

woh waqt jo beet chuka hai,
kyon dil mey ek dard chod gaya...
ab bhedta hai mujhey teer teri nazaron ka...
woh nazar jis par mera ab haq nahi...
jo udhti nahi thi merey chehrey sey,
aur ab jhuk jaati hai merey naam sey bhi.....

Read more...

Puraana Intezaar

Aaj ki raat, kal ki raat sey kuch juda to nahin,
main bhi wohi hu, meri soch wohi, wohi shayari meri,
aur yeh kalam bhi wohi....
phir kyon naa kal yeh khayal aaya ki,
ghazal tere tasavuur bina kuch bhi nahin,
dard nahin jo ismey to yeh dava bhi nahin.
Tanhai hai ismey, mehfil ki shanasai nahin,
saaj hai ismey magar goonj-e-sehnai nahin.....
Merey chanda, teri chaandni key paas
kuch lafaj hai tute hue,
jo jud gaye yeh to samjoh hal-e-dil bayan hua...
Kismat main meri wohi Intezaar purana likha shayad,
jo mil jao tum to samjhen gey ki kuch naya hua......

Read more...

Zindagi Cheen Le Daulat Apni

bhulna chahtey hai sab, naa ab koi "humara" chahiye,
mujhey e tanhai, bus ek tera sahara chahiye


Toh.....



zindagi cheen ley, bakshi hui daulat apni,
tuney ashkon key siwa diya bhi kya hai...

ta-umr na mila woh humey jiska intzaar tha,
khwab uskey baney jeevan, jis par aitbar tha
naa karaar hi mila tujhsey, naa pyar hi mila tujhsey
tujhsey chahat hai mujhey bas itni ab to.....
zindagi cheen ley bakshi hui khusiyaa apni,
tuney khwabon key siwa diya bhi kya hai...

jab ungliya uthi mujh pe sari duniya ki,
jab bijliyaa giri mujh pe sari duniya ki,
woh dur raha mujhsey zindagi bhar,
aur main dur rahi ussey zindagi bhar,
kya faida teri di hui aaisi shhorat ka....
zindagi cheen ley bakshi hui shhorat apni,
tuney badnaami key siwa diya bhi kya hai...

tadap key reh gaye woh lafj meri juba key,
tuney jab dekha mujhey anjani nazar sey,
khamosh kar di humney apne dil ki dhadkane,
aur chuppi laga di humney apni sanso pey...
ab kya kare hum tere sazo geeton ka,
zindagi cheen ley bakshi hui aawaz apni,
tuney khamoshi key siwa diya bhi kya hai....

Read more...

Pyaar ki Gehraaiyaan

Main door jaroor hu aaj tujhsey,
magar teri parchaiyyaan to hain,
najdikiyaan nahin hai jo pyar ki to kya,
dil main tere pyar ki gheraiiyaan to hai

Read more...

Toot Gayi Sapno Ki Paalki

Hum Roye hai raat bhar jinkey khayal main,
unko khabar nahin hai mere dil key haal ki.....
jamaney ki rawayato ney todey woh bandhan sarey,
jinko sameta tha kabhi ek dori main pyar ki....
bikhar gaye phool sarey khawabon key sehron key,
toot kar gir gayi hai merey sapno ki palki....

Read more...

Zindagi Majhdhaar Hai

Aaisi bhi kya baat hai ki saath koi deta nahin hai,
Zindagi ek manjhdhaar hai, jiska koi sahil nahin hai....
yeh bhatkta tha yuhi din raat kisi ki talaash mey,
Is navik ki aankhon mey bachi ab koi aas nahin hai....

Read more...

Main toh ek khwaab hoon

main to ek khwab hu... merey liye lad kar kya payaogey tum,
main gumon key jaal main rehti hu.... kareeb aaogey to ulajh jaogey tum...

tum to apney ho, tumhey naa koi takleef ho kabhi na musibat aaye koi,
yeh sach hai, sach kehtey hai, jo manogey yeh kaha to sawar jaogey tum...

us saagar main hai hum doob rahey, jis sey koi paar na utar paaya,
kaisey haath thamaye tumhey darr hai, sath humare hi bhatak jaogey tum...

main to koi khuda nahin, ek tasveer hu, kuch miti hui kuch dhudhli si,
humkalam hu isliye kehti hu tumsey, kosish karogey to bhool jaogey tum..

Read more...

Aa Hans ke Marr Jaaye

tum apney dil main intezaar ko kabhi bhi kum na honey dena,
yeh shama jo roshan hai muhabbat sey roshan hi rehney dena.
hanstey huey maut ko galey lagana isi ko kehtey hai shayad,
martey hue bhi naam apney mehboob ka letey rehna....

Read more...

Dil Hi Todd Jaate Hai

log baatey kartey hai khoob badi badi, lekin phir sath chod jaatey hai...
kehtey hai ki duniya ki har rasm todegey, lekin dil hi tod jaatey hai...
humey bhi intezaar hai uska jo milwa dey mazil-e-sahil sey humey,
shayad hum mey hi kami hai koi, ki sab bhatakta hua chod jaatey hai....

Read more...

Dil-e-Naavik!!!

Teri yaad-e-patwar ka sahara,
is dil-e-navik ko, de raha hai hosla jeeney key wastey,
Door nikal aaya hu main,
phir kinaro sey, ishq-e-samunder main nahin mil rahey rastey...
leel naa jaye mujhey kahin,
yeh gehra samunder,
thaam lo hath mera khuda key waastey........

Read more...

Lehron ka Uffaan!!

Lehren uffanti hai ek baar tufaa ki tarah,
aur phir shaant bhi ho jaati hai,
zindagi mein lagte hai kai mele
aur phir ekaant main so jaati hai..
muhabbat ke samundar main humney doob key dekh liya,
yeh bhatakti kashti bina navik key,
teri bewaafai ki dastan sunaati hai

Read more...

Kya Rakha Takraar Mein!!!

hum bhatke hai manzil sey, sirf apkey pyaar main..
ab to kareeb aa jaaiye, kya rakha hai takraar main
chup ho kyon tum, kuch to baat kijiye apne dil ki..
woh mazaa kaha inkaar main jo hota hai ikraar main....

Read more...

Shakshiyat!!!

Kho chuki hai shakshiyat pyar ki rahoon mey,
Gumraah jaroor hai, magar gumnaam nahi hai..
Hai kissey meri muhobbat key abhi mehfil mey,
Saaki hath main hai, magar ab jaam nahi hai...

Read more...

Bhatka Hua Navik!!!

Poocha kinare ney badhawaas bhagti lehar sey,
bolo sakhi kiska sandesh layi ho......
boli lehar, bhar aankhon main moti,
jadvat khadey e' kinare,
khojtey hue koi tujhey, phir samundar main kho gaya hai....
kya phir kahogey tum usey, "Bhatka hua navik" koi,
jo tujhey paney ki chahat main zindagi sey hath dho gaya hai....??

Read more...

Sanam Bewafa!!!

Meri Zindagii ki jab kabhi shaam hogi,
Woh aakhiri shaam bhi tere naam hogi...

Dil bachaye rakhna apna hifaazat sey,
Muhabbat us roz naa apni nakaam hogi...

Mit jayenge faasle sab darmiyaan humare,
Har ek wehshat duniyaa ki tamaam hogi...

Bewafa hum ko kehte rahe Tum Sanam lekin,
Ek baar thartharaaii zaroor terii zubaan hogi..

Read more...

Sanam teri bewafaii ka ab humko malal nahin,
Zinda rehney ka bhi is haal mey koi sawaal nahin...
Ek raat ka kaufnaak chehra dekh liye humney,
Kisi khushnuma raat ka ab humko koi intezaar nahin...

Read more...

Ab apney haal ki hum duaa kya karey,
Koi kehta hai humey bewaffa to kya karey....

Badnaam jo huey unki muhabbat mey to kya hua,
Ek naam aur humara jo hua to kya hua....
Uski ab hum koi shikayat karey to kya karey.....

Woh Muskuratey rahey jo mera haal dekh kar,
Hum bhi gungunatey rahey unko behaal dekh kar
Ab aur koi geet hum unkey naam kya karey.....

Pehchaan meri kho gayi hai unki galiyon mey,
Raunak chali gayi hai ab in tazaa kaliyon sey,
Naam unkey hum koi ab gulistaan kya karey....

Kismat ko dosh dengey to kya payengey hum,
Khud apni hi uljhano mey aur ulajh jayengey hum,
In uljhano sey nikalney ka samadhaan kya karey....

Apney dil ka haal kisi sey kaha bhi to nahin jaata,
Lekin ab yeh dard humsey aur saha bhi to nahin jaata,
Dard bhool jaye hum kuch pal key liye aisa kaam kya karey....

Woh to humey dekhey begar chala gaya is mehfil sey,
Muskurahat thi hoton par Shikan to rahi is dil mey..
Wafaa ki ummed ab hum ussey karey to kya karey....

Read more...

Ho gaya hai jeena mushkil ab humara yahan,
Khwaishein dil mey kuch aaisi palney lagi hai....

Humsey wafa ki umeed ab naa kiya kijiye aap,
Hawa bewafaii ki jahan mey chalney lagi hai....

Jaaney yeh kis diljaley ka dil hai jo jal gaya,
Aag saarey shaher mein kaisi lagney lagi hai...

Toot kar kai baar bikharey terey rawaiye sey hum,
Aah ke sang Jaan bhi ab nikalney lagi hai.....

Read more...

Dekh kar meri bebasi ko sub muskuraney lagey,
Jo They Apne Mere Sab Mujhse Daman Bachaane Lagey.....

Ek fakat khawaish ki humney unki chahat ki unsey,
uljhi uljhi baton sey woh humko bhi uljhaney lagey.....

Pathar dil humko duniya kehti hai jo to kya karey,
hum unkey liye is pathar ko mo'um bananey lagey....

Dil ko ek khilona jaana aur to'd diya usney is tarah,
Is tootey huey khiloney sey phir dil apna behlaney lagey....

Read more...

Hunar bewafaii ka unko kuch is tarah bhaaney lagaa,
Dil muhabaat key naam sey bhi ghabaraaney lagaa...

Kaash ki woh aa jaatey, theher jaatey dil mey kahin,
Aur Hum chuppa letey unko apni dhadkan mey kahin...
Aakar chaley jaana unka, Dil ko merey dhukhaney lagaa....

Bewafa huey woh to nazar ko hum bhi jhuka kar bethey,
Hum unkey pehlu sey nikal kar duniya ki nazar aa bethey,
Har shaksh duniya ka hum pey unglii apni uthhaney lagaa...

Roka bahut unhey kaha ki humey bus ruswaaiya milengi,
Yeh duniya merey zazbat-e-muhabbat pey din raat hasegi...
Phir bhi bhari mehfil mey woh kissa mera sunaney lagaa....

Hunar bewafaii ka unko kuch is tarah bhaaney lagaa
Mujhey dard mey dekh woh jashn yu mananey lagaa....
Haal par apney hum to ro bhi naa sakey magar,
Dil Muhabbat key naam sey bhi ab ghabraney lagaa...

Read more...

Koi Baat Kya Kahein!!

Ab tumsey hum apney dil ki koi baat kya kahein,
Ashkon bhari kati kyon woh raat kya kahein....
Chupchaap sey suni jisney apney katal ki dastan,
hum to woh pathar ki ek majboor deewar ho gaye...
Muhabbat sey toot kar aaisey bikhar gaye hum,
Chehra chupa kar hathon sey jaar jaar ho gaye....

Samet li humney ruswai unki apney aanchal mey,
Khud apni hi nazron mey hum daagdaar ho gaye....
Sub kuch luta diya humney pyar ki guzarish mey,
Duniya yeh kehti hai ki hum gunaahgaar ho gaye...

Jo kadar naa kar saka merey zakhmo ki ta-umr,
kaisey hum unkey pairon ki jhankaar ho gaye....
Kiston mey maut payii humney jinki chahat mey,
Unkey liye hi hum fakat ek majaar ho gaye....

Woh kehtey they ki hansi mey teri phool khiltey hai kai,
Nazaron mey unki ab hum jaati hui bahaar ho gaye...
Koi naa aana is raah mey ishq ki thokarey hai bahut,
Hum bhi ek baar guzar kar yahan khabardaar ho gaye....

Likha jo humney kuch bhi to aansu nazar aaye,
Hum khud apney kalaam sey sharmshaar ho gaye...
Chand lafz hi byaan kardey jiskey dard key manzar ko,
Dekho humey ab hum bhi woh fankaar ho gaye....

Ab tumsey hum dil ki koi baat kya kahein,
Tanha sard raaton key kyon haqdaar ho gaye...

Read more...

Jidhar bhi dekhti hu main, uska chehra nazar aata hai,
Mujey apni manzilon sey juda uska rasta nazar aata hai,

Soch kar pareshaan si ho jaati hu main bewafaii uski,
Phir bhi woh dil ki geheraiyon mey utarta nazar aata hai...

Dil ki baat hum apney dil mey hi daba detey hai aksar,
Humey apney dil mey shikvon ka kafilaa nazar aata hai...

Khwab toot jaatey hai bewafaii sey muhabbat key doston,
Do ghadi baat karey koi to jeeney ka hosla nazar aata hai...

Read more...

Uski yaad jab bhi chupkey sey mere jehan main aati hai,
meri kalam khud-b-khud dard ki shyahi main doob jaati hai..
Hum daal detey hai ashko ki chand boondey is shyahi mey,
meri muhabbat adhuri kavita si kagaz pey bikhar jaati hai....

Read more...

Kyon bewafaii ki baat kartey ho tum,
Kyon baar baar dil dukhatey ho apna,
Yeh duniya sach sun nahin sakti hai,
Isey kyon dard sunaatey ho apna....

Kaat detey hai jubaa, kalam kartey hai sar,
Muhabbat main kyon sar udhattey ho apna
Yeh lehar to baar baar mud key aayegi,
kyon sahilon par ghar basatey ho apna....

Read more...

Bharosa apni mohabbat main yuhi sada banaye rakhna,
Pehlu main apney tum sanam ka dil basaye rakhna....
bewafa na ho jaana bhula kar apni muhabbat ki dastan,
bana kar isey ibadat-e-khuda duniya sey chuppaye rakhna....

Read more...

tum hum-jaisey naa ban jaana, bus itni gujarish hai...
apney pyar ka sar naa jukwana, bus itni gujarish hai....
bewafaai naa karna kabhi kisi sey, na todna dil kisi ka,
wafa key liye beshak marr jana, bus itni gujarish hai...

Read more...

E Mohabbat, tere naam sey nafrat kar bhi nahi saktey,
Aisey jeetey hai hum aaj kal ki mar bhi nahi saktey...
Koshish ki lakh humney sambhalney ki apney dil ko,
itney bikhar chukey hai ishq main ki sawur bhi nahi saktey...

Read more...

yaad aata hai tu mujhey din-raat abhi bhi,
phir kyon hai yeh duri mujhsey..
naino main aansu nahin, arey yeh to moti hai,
aankhon main basi hai yaar teri surat....
wapas aaja e sanam, na kar bewafaii mujhsey,
merey dil ko mehsuus hoti hai,
abhi bhi tere didaar ki jarurat...

Read more...

yu hastey hastey roney ki kala tune hi sikhlayi hai,
humney apni neend teri yaadon main udavaii hai..
e sanam khush rahey tu sada, chahey mujhsey door sahi,
dil to de hi chukey they, ab teri ulfat main jaa bhi gavaii hai.....

Read more...

yeh teri bewafaii ka sila, sanam hum hus-hus kar sahengey,
kabhi tu bhi chahta tha humey dil se, hum yeh na kahengey...
e kaash yeh dil ki majboori na hoti, naa hoti meri muhabaat kamosh,
chalo jo hua so hua ab hai yeh kasam, ki hum chup rahengey

Read more...

kaisey shaamil karey hum tumhey apney aansu main aur gum main,
woh baat hum main nahin jo tum dhoondhtey ho apney sanam main,
hum sey wafa ki umeed naa kijiye, hum to khud chot khaye hue hai..
phir bhi intezaar karogey to shayad mil jayegey agley janam main..

Read more...

Dil yeh jis par tha fida,
Woh naa kar saka humse wafa,
D ke woh humko hi daga,
Jooth kehta hai ki tu hai dilruba,
Hum kaise ab yeh maan lein,
Hum kaise usko pehchaan lein,
Kya ab yehi hum bas jaan lein?
Woh nahi hai hamara.... kya yehi hai sach?
Ab kaisey kahein usey humsafar?
joh muuh humse moud gaya,
Yun akela raah main chod gaya.....
Fakat dil main baaki tees hai,
Usne kiya nahin yeh theek hai.....
Jo hua hai, woh bahut galat hua......
Aakhir Woh itna kaise badal gaya?

Read more...

Beeti Raat...

Zindagi kyon humein uss raah par le jaa rahi hai,
Woh raah jahan beeti raat ki khushboo aati hai,
Yeh doraaha yun apney sang humein kaat raha hai,
Dil ek aor jaata hai aur Jaan doosri aor jaati hai......

Read more...

kyon dil todtey hai log, kyon mita dete hai pyar ki nishaaniya..
kyon rulatey hai kisi ko, kyon detey hai kisi ko ruswaiyaa...
yeh such hai duniya main, har cheez ka ek waqt hota hai,
mit jaata hai har zakhm ek din, har ghav bhi bhar jaata hai..
lekin nahin mitt.ti is dil sey pehley pyar ki purchaiiyaa....






|

Read more...

EK MULAKAT BHI HOGI, AUR PHIR BAAT BHI HOGI,
SADA GHIRI REHTI HAI TANHAIYO SEY,
KABHI TO KHUSHNUMA YEH RAAT BHI HOGI...
AAJ RONEY DO GHADI BHAR MUJHEY APNEY LIYE,
KAL TUMHAREY LIYE HANSI KI SAUGAAT BHI HOGI...

Read more...

Tanhai aadat hai hamari, yeh yaadein saathi hai..
jab tum nahin hoty ho paas, tab yehi to aati hai..
tum to aatey ho do ghadi ko, aur chaley jatey ho,
dil rota hai jab mera, yeh hi usey behlaati hai...

Read more...

usney muh pher liya dekh kar mera aana jaana apni galiyon mein.....
nazren chura li aisey, ki daag lage na kahin sehre ki kaliyon mein

Read more...

Umeed-e-wafa ko yu seeney sey lagaye rakha,
Chirag-e'-pyar ko humney ta-umar jalaye rakha,
mehsoos to hui unhey humari aakhon main nami,
hastey hue hamney magar nazron ko jukaye rakha.

Read more...

Kyon woh sard shyah raat yaad aati hai,
Kyon phir sey dil ko bechain kar jaati hai...
Har taraf pasra hua hai gehra sannata sa,
Koi cheekh mere kaano mey goonj jaati hai...
Dard sey bhari kisi ki siskan ghuti ghuti,
Har kisi aahat sey rooh kaamp jaati hai...
Phir sey rounda jai naa kahin mujhko,
Raat kyon yeh baar baar chali aati hai...
Jeeney ki aas ab bhi baaki hai ismey,
Ek bulbul pinjarey mey phadphadati hai...

Read more...

Raaton sey darr lagta hai
Andhero sey jee ghabrata hai
Hum saans rok key baithey hai
phir bhi dil dhadak jaata hai....

Koi naa aaye aaj ki raat,
hum yeh dua kartey hai..
Beeti raat si koi aur raat na ho,
dil sukhey pattey sa kapkapata hai...

Read more...

Blogger templates made by AllBlogTools.com

Back to TOP